27
Maḳhsūs kī Huī Chīzoṅ kī Wāpasī
1 Rab ne Mūsā se kahā, 2 “Isrāīliyoṅ ko batānā ki agar kisī ne mannat mān kar kisī ko Rab ke lie maḳhsūs kiyā ho to wuh use zail kī raqam de kar āzād kar saktā hai (mustāmal sikke maqdis ke sikkoṅ ke barābar hoṅ): 3 us ādmī ke lie jis kī umr 20 aur 60 sāl ke darmiyān hai chāṅdī ke 50 sikke, 4 isī umr kī aurat ke lie chāṅdī ke 30 sikke, 5 us laṛke ke lie jis kī umr 5 aur 20 sāl ke darmiyān ho chāṅdī ke 20 sikke, isī umr kī laṛkī ke lie chāṅdī ke 10 sikke, 6 ek māh se le kar 5 sāl tak ke laṛke ke lie chāṅdī ke 5 sikke, isī umr kī laṛkī ke lie chāṅdī ke 3 sikke, 7 sāṭh sāl se baṛe ādmī ke lie chāṅdī ke 15 sikke aur isī umr kī aurat ke lie chāṅdī ke 10 sikke.
8 Agar mannat mānane wālā muqarrarā raqam adā na kar sake to wuh maḳhsūs kie hue shaḳhs ko imām ke pās le āe. Phir imām aisī raqam muqarrar kare jo mannat mānane wālā adā kar sake.
9 Agar kisī ne mannat mān kar aisā jānwar maḳhsūs kiyā jo Rab kī qurbāniyoṅ ke lie istemāl ho saktā hai to aisā jānwar maḳhsūs-o-muqaddas ho jātā hai. 10 Wuh use badal nahīṅ saktā. Na wuh achchhe jānwar kī jagah nāqis, na nāqis jānwar kī jagah achchhā jānwar de. Agar wuh ek jānwar dūsre kī jagah de to donoṅ maḳhsūs-o-muqaddas ho jāte haiṅ.
11 Agar kisī ne mannat mān kar koī nāpāk jānwar maḳhsūs kiyā jo Rab kī qurbāniyoṅ ke lie istemāl nahīṅ ho saktā to wuh us ko imām ke pās le āe. 12 Imām us kī raqam us kī achchhī aur burī siftoṅ kā lihāz karke muqarrar kare. Is muqarrarā qīmat meṅ kamī beshī nahīṅ ho saktī. 13 Agar mannat mānane wālā use wāpas ḳharīdnā chāhe to wuh muqarrarā qīmat jamā 20 fīsad adā kare.
14 Agar koī apnā ghar Rab ke lie maḳhsūs-o-muqaddas kare to imām us kī achchhī aur burī siftoṅ kā lihāz karke us kī raqam muqarrar kare. Is muqarrarā qīmat meṅ kamī beshī nahīṅ ho saktī. 15 Agar ghar ko maḳhsūs karne wālā use wāpas ḳharīdnā chāhe to wuh muqarrarā raqam jamā 20 fīsad adā kare.
16 Agar koī apnī maurūsī zamīn meṅ se kuchh Rab ke lie maḳhsūs-o-muqaddas kare to us kī qīmat us bīj kī miqdār ke mutābiq muqarrar kī jāe jo us meṅ bonā hotā hai. Jis khet meṅ 135 kilogrām jau kā bīj boyā jāe us kī qīmat chāṅdī ke 50 sikke hogī. 17 Shart yih hai ki wuh apnī zamīn bahālī ke sāl ke ain bād maḳhsūs kare. Phir us kī yihī qīmat muqarrar kī jāe. 18 Agar zamīn kā mālik use bahālī ke sāl ke kuchh der bād maḳhsūs kare to imām agle bahālī ke sāl tak rahne wāle sāloṅ ke mutābiq zamīn kī qīmat muqarrar kare. Jitne kam sāl bāqī haiṅ utnī kam us kī qīmat hogī. 19 Agar maḳhsūs karne wālā apnī zamīn wāpas ḳharīdnā chāhe to wuh muqarrarā qīmat jamā 20 fīsad adā kare. 20 Agar maḳhsūs karne wālā apnī zamīn ko Rab se wāpas ḳharīde baġhair use kisī aur ko beche to use wāpas ḳharīdne kā haq ḳhatm ho jāegā. 21 Agle bahālī ke sāl yih zamīn maḳhsūs-o-muqaddas rahegī aur Rab kī dāymī milkiyat ho jāegī. Chunāṅche wuh imām kī milkiyat hogī.
22 Agar koī apnā maurūsī khet nahīṅ balki apnā ḳharīdā huā khet Rab ke lie maḳhsūs kare 23 to imām agle bahālī ke sāl tak rahne wāle sāloṅ kā lihāz karke us kī qīmat muqarrar kare. Khet kā mālik usī din us ke paise adā kare. Yih paise Rab ke lie maḳhsūs-o-muqaddas hoṅge. 24 Bahālī ke sāl meṅ yih khet us shaḳhs ke pās wāpas āegā jis ne use bechā thā.
25 Wāpas ḳharīdne ke lie mustāmal sikke maqdis ke sikkoṅ ke barābar hoṅ. Us ke chāṅdī ke sikkoṅ kā wazn 11 grām hai.
26 Lekin koī bhī kisī maweshī kā pahlauṭhā Rab ke lie maḳhsūs nahīṅ kar saktā. Wuh to pahle se Rab ke lie maḳhsūs hai. Is meṅ koī farq nahīṅ ki wuh gāy, bail yā bheṛ ho. 27 Agar us ne koī nāpāk jānwar maḳhsūs kiyā ho to wuh use muqarrarā qīmat jamā 20 fīsad ke lie wāpas ḳharīd saktā hai. Agar wuh use wāpas na ḳharīde to wuh muqarrarā qīmat ke lie bechā jāe.
28 Lekin agar kisī ne apnī milkiyat meṅ se kuchh ġhairmashrūt taur par Rab ke lie maḳhsūs kiyā hai to use bechā yā wāpas nahīṅ ḳharīdā jā saktā, ḳhāh wuh insān, jānwar yā zamīn ho. Jo is tarah maḳhsūs kiyā gayā ho wuh Rab ke lie nihāyat muqaddas hai. 29 Isī tarah jis shaḳhs ko tabāhī ke lie maḳhsūs kiyā gayā hai us kā fidyā nahīṅ diyā jā saktā. Lāzim hai ki use sazā-e-maut dī jāe.
30 Har fasal kā daswāṅ hissā Rab kā hai, chāhe wuh anāj ho yā phal. Wuh Rab ke lie maḳhsūs-o-muqaddas hai. 31 Agar koī apnī fasal kā daswāṅ hissā chhuṛānā chāhtā hai to wuh is ke lie us kī muqarrarā qīmat jamā 20 fīsad de. 32 Isī tarah gāy-bailoṅ aur bheṛ-bakriyoṅ kā daswāṅ hissā bhī Rab ke lie maḳhsūs-o-muqaddas hai, har daswāṅ jānwar jo gallābān ke ḍanḍe ke nīche se guzaregā. 33 Yih jānwar chunane se pahle un kā muāynā na kiyā jāe ki kaun-se jānwar achchhe yā kamzor haiṅ. Yih bhī na karnā ki dasweṅ hisse ke kisī jānwar ke badle koī aur jānwar diyā jāe. Agar phir bhī use badlā jāe to donoṅ jānwar Rab ke lie maḳhsūs-o-muqaddas hoṅge. Aur unheṅ wāpas ḳharīdā nahīṅ jā saktā.”
34 Yih wuh ahkām haiṅ jo Rab ne Sīnā Pahāṛ par Mūsā ko Isrāīliyoṅ ke lie die.