12
Riyākārī se Ḳhabardār Raho!
1 Itne meṅ kaī hazār log jamā ho gae the. Baṛī tādād kī wajah se wuh ek dūsre par gire paṛte the. Phir Īsā apne shāgirdoṅ se yih bāt karne lagā, “Farīsiyoṅ ke ḳhamīr yānī riyākārī se ḳhabardār! 2 Jo kuchh bhī abhī chhupā huā hai use āḳhir meṅ zāhir kiyā jāegā aur jo kuchh bhī is waqt poshīdā hai us kā rāz āḳhir meṅ khul jāegā. 3 Is lie jo kuchh tum ne andhere meṅ kahā hai wuh roz-e-raushan meṅ sunāyā jāegā aur jo kuchh tum ne andarūnī kamroṅ kā darwāzā band karke āhistā āhistā kān meṅ bayān kiyā hai us kā chhatoṅ se elān kiyā jāegā.
Kis se Ḍarnā Chāhie?
4 Mere azīzo, un se mat ḍarnā jo sirf jism ko qatl karte haiṅ aur mazīd nuqsān nahīṅ pahuṅchā sakte. 5 Maiṅ tum ko batātā hūṅ ki kis se ḍarnā hai. Allāh se ḍaro, jo tumheṅ halāk karne ke bād jahannum meṅ phaiṅkne kā iḳhtiyār bhī rakhtā hai. Jī hāṅ, usī se ḳhauf khāo.
6 Kyā pāṅch chiṛiyāṅ do paisoṅ meṅ nahīṅ biktīṅ? To bhī Allāh har ek kī fikr karke ek ko bhī nahīṅ bhūltā. 7 Hāṅ, balki tumhāre sar ke sab bāl bhī gine hue haiṅ. Lihāzā mat ḍaro. Tumhārī qadar-o-qīmat bahut-sī chiṛiyoṅ se kahīṅ zyādā hai.
Masīh kā Iqrār yā Inkār Karne ke Natīje
8 Maiṅ tum ko batātā hūṅ, jo bhī logoṅ ke sāmne merā iqrār kare us kā iqrār Ibn-e-Ādam bhī farishtoṅ ke sāmne karegā. 9 Lekin jo logoṅ ke sāmne merā inkār kare us kā bhī Allāh ke farishtoṅ ke sāmne inkār kiyā jāegā.
10 Aur jo bhī Ibn-e-Ādam ke ḳhilāf bāt kare use muāf kiyā jā saktā hai. Lekin jo Rūhul-quds ke ḳhilāf kufr bake use muāf nahīṅ kiyā jāegā.
11 Jab log tum ko ibādatḳhānoṅ meṅ aur hākimoṅ aur iḳhtiyār wāloṅ ke sāmne ghasīṭ kar le jāeṅge to yih sochte sochte pareshān na ho jānā ki maiṅ kis tarah apnā difā karūṅ yā kyā kahūṅ, 12 kyoṅki Rūhul-quds tum ko usī waqt sikhā degā ki tum ko kyā kahnā hai.”
Nādān Amīr kī Tamsīl
13 Kisī ne bhīṛ meṅ se kahā, “Ustād, mere bhāī se kaheṅ ki mīrās kā merā hissā mujhe de.”
14 Īsā ne jawāb diyā, “Bhaī, kis ne mujhe tum par jaj yā taqsīm karne wālā muqarrar kiyā hai?” 15 Phir us ne un se mazīd kahā, “Ḳhabardār! Har qism ke lālach se bache rahnā, kyoṅki insān kī zindagī us ke māl-o-daulat kī kasrat par munhasir nahīṅ.”
16 Us ne unheṅ ek tamsīl sunāī. “Kisī amīr ādmī kī zamīn meṅ achchhī fasal paidā huī. 17 Chunāṅche wuh sochne lagā, ‘Ab maiṅ kyā karūṅ? Mere pās to itnī jagah nahīṅ jahāṅ maiṅ sab kuchh jamā karke rakhūṅ.’ 18 Phir us ne kahā, ‘Maiṅ yih karūṅga ki apne godāmoṅ ko ḍhā kar in se baṛe tāmīr karūṅga. Un meṅ apnā tamām anāj aur bāqī paidāwār jamā kar lūṅgā. 19 Phir maiṅ apne āp se kahūṅgā ki lo, in achchhī chīzoṅ se terī zarūriyāt bahut sāloṅ tak pūrī hotī raheṅgī. Ab ārām kar. Khā, pī aur ḳhushī manā.’ 20 Lekin Allāh ne us se kahā, ‘Ahmaq! Isī rāt tū mar jāegā. To phir jo chīzeṅ tū ne jamā kī haiṅ wuh kis kī hoṅgī?’
21 Yihī us shaḳhs kā anjām hai jo sirf apne lie chīzeṅ jamā kartā hai jabki wuh Allāh ke sāmne ġharīb hai.”
Allāh par Bharosā
22 Phir Īsā ne apne shāgirdoṅ se kahā, “Is lie apnī zindagī kī zarūriyāt pūrī karne ke lie pareshān na raho ki hāy, maiṅ kyā khāūṅ. Aur jism ke lie fikrmand na raho ki hāy, maiṅ kyā pahnūṅ. 23 Zindagī to khāne se zyādā aham hai aur jism poshāk se zyādā. 24 Kawwoṅ par ġhaur karo. Na wuh bīj bote, na fasleṅ kāṭte haiṅ. Un ke pās na sṭor hotā hai, na godām. To bhī Allāh ḳhud unheṅ khānā khilātā hai. Aur tumhārī qadar-o-qīmat to parindoṅ se kahīṅ zyādā hai. 25 Kyā tum meṅ se koī fikr karte karte apnī zindagī meṅ ek lamhe kā bhī izāfā kar saktā hai? 26 Agar tum fikr karne se itnī chhoṭī-sī tabdīlī bhī nahīṅ lā sakte to phir tum bāqī bātoṅ ke bāre meṅ kyoṅ fikrmand ho? 27 Ġhaur karo ki sosan ke phūl kis tarah ugte haiṅ. Na wuh mehnat karte, na kātte haiṅ. Lekin maiṅ tumheṅ batātā hūṅ ki Sulemān Bādshāh apnī pūrī shān-o-shaukat ke bāwujūd aise shāndār kapṛoṅ se mulabbas nahīṅ thā jaise un meṅ se ek. 28 Agar Allāh us ghās ko jo āj maidān meṅ hai aur kal āg meṅ jhoṅkī jāegī aisā shāndār libās pahnātā hai to ai kam-etaqādo, wuh tum ko pahnāne ke lie kyā kuchh nahīṅ karegā?
29 Is kī talāsh meṅ na rahnā ki kyā khāoge yā kyā piyoge. Aisī bātoṅ kī wajah se bechain na raho. 30 Kyoṅki duniyā meṅ jo īmān nahīṅ rakhte wuhī in tamām chīzoṅ ke pīchhe bhāgte rahte haiṅ, jabki tumhāre Bāp ko pahle se mālūm hai ki tum ko in kī zarūrat hai. 31 Chunāṅche usī kī bādshāhī kī talāsh meṅ raho. Phir yih tamām chīzeṅ bhī tum ko mil jāeṅgī.
Āsmān par Daulat Jamā Karnā
32 Ai chhoṭe galle, mat ḍarnā, kyoṅki tumhāre Bāp ne tum ko bādshāhī denā pasand kiyā. 33 Apnī milkiyat bech kar ġharīboṅ ko de denā. Apne lie aise baṭwe banwāo jo nahīṅ ghiste. Apne lie āsmān par aisā ḳhazānā jamā karo jo kabhī ḳhatm nahīṅ hogā aur jahāṅ na koī chor āegā, na koī kīṛā use ḳharāb karegā. 34 Kyoṅki jahāṅ tumhārā ḳhazānā hai wahīṅ tumhārā dil bhī lagā rahegā.
Har Waqt Taiyār Naukar
35 Ḳhidmat ke lie taiyār khaṛe raho aur is par dhyān do ki tumhāre charāġh jalte raheṅ. 36 Yānī aise naukaroṅ kī mānind jin kā mālik kisī shādī se wāpas āne wālā hai aur wuh us ke lie taiyār khaṛe haiṅ. Jyoṅ hī wuh ā kar dastak de wuh darwāze ko khol deṅge. 37 Wuh naukar mubārak haiṅ jinheṅ mālik ā kar jāgte hue aur chaukas pāegā. Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki yih dekh kar mālik apne kapṛe badal kar unheṅ biṭhāegā aur mez par un kī ḳhidmat karegā. 38 Ho saktā hai mālik ādhī rāt yā is ke bād āe. Agar wuh is sūrat meṅ bhī unheṅ musta'id pāe to wuh mubārak haiṅ. 39 Yaqīn jāno, agar kisī ghar ke mālik ko patā hotā ki chor kab āegā to wuh zarūr use ghar meṅ naqb lagāne na detā. 40 Tum bhī taiyār raho, kyoṅki Ibn-e-Ādam aise waqt āegā jab tum is kī tawaqqo nahīṅ karoge.”
Wafādār Naukar
41 Patras ne pūchhā, “Ḳhudāwand, kyā yih tamsīl sirf hamāre lie hai yā sab ke lie?”
42 Ḳhudāwand ne jawāb diyā, “Kaun-sā naukar wafādār aur samajhdār hai? Farz karo ki ghar ke mālik ne kisī naukar ko bāqī naukaroṅ par muqarrar kiyā ho. Us kī ek zimmedārī yih bhī hai ki unheṅ waqt par munāsib khānā khilāe. 43 Wuh naukar mubārak hogā jo mālik kī wāpasī par yih sab kuchh kar rahā hogā. 44 Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki yih dekh kar mālik use apnī pūrī jāydād par muqarrar karegā. 45 Lekin farz karo ki naukar apne dil meṅ soche, ‘Mālik kī wāpasī meṅ abhī der hai.’ Wuh naukaroṅ aur naukarāniyoṅ ko pīṭne lage aur khāte-pīte wuh nashe meṅ rahe. 46 Agar wuh aisā kare to mālik aise din aur waqt āegā jis kī tawaqqo naukar ko nahīṅ hogī. In hālāt ko dekh kar wuh naukar ko ṭukṛe ṭukṛe kar ḍālegā aur use ġhairīmāndāroṅ meṅ shāmil karegā.
47 Jo naukar apne mālik kī marzī ko jāntā hai, lekin us ke lie taiyāriyāṅ nahīṅ kartā, na use pūrī karne kī koshish kartā hai, us kī ḳhūb piṭāī kī jāegī. 48 Is ke muqābale meṅ wuh jo mālik kī marzī ko nahīṅ jāntā aur is binā par koī qābil-e-sazā kām kare us kī kam piṭāī kī jāegī. Kyoṅki jise bahut diyā gayā ho us se bahut talab kiyā jāegā. Aur jis ke sapurd bahut kuchh kiyā gayā ho us se kahīṅ zyādā māṅgā jāegā.
Īsā kī Wajah se Iḳhtilāf Paidā Hogā
49 Maiṅ zamīn par āg lagāne āyā hūṅ, aur kāsh wuh pahle hī bhaṛak rahī hotī! 50 Lekin ab tak mere sāmne ek baptismā hai jise lenā zarūrī hai. Aur mujh par kitnā dabāw hai jab tak us kī takmīl na ho jāe. 51 Kyā tum samajhte ho ki maiṅ duniyā meṅ sulah-salāmatī qāym karne āyā hūṅ? Nahīṅ, maiṅ tum ko batātā hūṅ ki is kī bajāe maiṅ iḳhtilāf paidā karūṅga. 52 Kyoṅki ab se ek gharāne ke pāṅch afrād meṅ iḳhtilāf hogā. Tīn do ke ḳhilāf aur do tīn ke ḳhilāf hoṅge. 53 Bāp beṭe ke ḳhilāf hogā aur beṭā bāp ke ḳhilāf, māṅ beṭī ke ḳhilāf aur beṭī māṅ ke ḳhilāf, sās bahū ke ḳhilāf aur bahū sās ke ḳhilāf.”
Maujūdā Hālāt kā Sahīh Natījā Nikālnā Chāhie
54 Īsā ne hujūm se yih bhī kahā, “Jyoṅ hī koī bādal maġhribī ufaq se chaṛhtā huā nazar āe to tum kahte ho ki bārish hogī. Aur aisā hī hotā hai. 55 Aur jab junūbī lū chaltī hai to tum kahte ho ki saḳht garmī hogī. Aur aisā hī hotā hai. 56 Ai riyākāro! Tum āsmān-o-zamīn ke hālāt par ġhaur karke sahīh natījā nikāl lete ho. To phir tum maujūdā zamāne ke hālāt par ġhaur karke sahīh natījā kyoṅ nahīṅ nikāl sakte?
Apne Muḳhālif se Samjhautā Karnā
57 Tum ḳhud sahīh faislā kyoṅ nahīṅ kar sakte? 58 Farz karo ki kisī ne tujh par muqaddamā chalāyā hai. Agar aisā ho to pūrī koshish kar ki kachahrī meṅ pahuṅchne se pahle pahle muāmalā hal karke muḳhālif se fāriġh ho jāe. Aisā na ho ki wuh tujh ko jaj ke sāmne ghasīṭ kar le jāe, jaj tujhe pulis afsar ke hawāle kare aur pulis afsar tujhe jel meṅ ḍāl de. 59 Maiṅ tujhe batātā hūṅ, wahāṅ se tū us waqt tak nahīṅ nikal pāegā jab tak jurmāne kī pūrī pūrī raqam adā na kar de.”