14
Sabat ke Din Marīz kī Shifā
1 Sabat ke ek din Īsā khāne ke lie Farīsiyoṅ ke kisī rāhnumā ke ghar āyā. Log use pakaṛne ke lie us kī har harkat par nazar rakhe hue the. 2 Wahāṅ ek ādmī Īsā ke sāmne thā jis ke bāzū aur ṭāṅgeṅ phūle hue the. 3 Yih dekh kar wuh Farīsiyoṅ aur sharīat ke ālimoṅ se pūchhne lagā, “Kyā sharīat Sabat ke din shifā dene kī ijāzat detī hai?”
4 Lekin wuh ḳhāmosh rahe. Phir us ne us ādmī par hāth rakhā aur use shifā de kar ruḳhsat kar diyā. 5 Hāzirīn se wuh kahne lagā, “Agar tum meṅ se kisī kā beṭā yā bail Sabat ke din kueṅ meṅ gir jāe to kyā tum use fauran nahīṅ nikāloge?”
6 Is par wuh koī jawāb na de sake.
Izzat aur Ajr Hāsil Karne kā Tarīqā
7 Jab Īsā ne dekhā ki mehmān mez par izzat kī kursiyāṅ chun rahe haiṅ to us ne unheṅ yih tamsīl sunāī, 8 “Jab tujhe kisī shādī kī ziyāfat meṅ sharīk hone kī dāwat dī jāe to wahāṅ jā kar izzat kī kursī par na baiṭhnā. Aisā na ho ki kisī aur ko bhī dāwat dī gaī ho jo tujh se zyādā izzatdār hai. 9 Kyoṅki jab wuh pahuṅchegā to mezbān tere pās ā kar kahegā, ‘Zarā is ādmī ko yahāṅ baiṭhne de.’ Yoṅ terī be'izzatī ho jāegī aur tujhe wahāṅ se uṭh kar āḳhirī kursī par baiṭhnā paṛegā. 10 Is lie aisā mat karnā balki jab tujhe dāwat dī jāe to jā kar āḳhirī kursī par baiṭh jā. Phir jab mezbān tujhe wahāṅ baiṭhā huā dekhegā to wuh kahegā, ‘Dost, sāmne wālī kursī par baiṭh.’ Is tarah tamām mehmānoṅ ke sāmne terī izzat ho jāegī. 11 Kyoṅki jo bhī apne āp ko sarfarāz kare use past kiyā jāegā aur jo apne āp ko past kare use sarfarāz kiyā jāegā.”
12 Phir Īsā ne mezbān se bāt kī, “Jab tū logoṅ ko dopahar yā shām kā khānā khāne kī dāwat denā chāhtā hai to apne dostoṅ, bhāiyoṅ, rishtedāroṅ yā amīr hamsāyoṅ ko na bulā. Aisā na ho ki wuh is ke ewaz tujhe bhī dāwat deṅ. Kyoṅki agar wuh aisā kareṅ to yihī terā muāwazā hogā. 13 Is ke bajāe ziyāfat karte waqt ġharīboṅ, langaṛoṅ, maflūjoṅ aur andhoṅ ko dāwat de. 14 Aisā karne se tujhe barkat milegī. Kyoṅki wuh tujhe is ke ewaz kuchh nahīṅ de sakeṅge, balki tujhe is kā muāwazā us waqt milegā jab rāstbāz jī uṭheṅge.”
Baṛī Ziyāfat kī Tamsīl
15 Yih sun kar mehmānoṅ meṅ se ek ne us se kahā, “Mubārak hai wuh jo Allāh kī bādshāhī meṅ khānā khāe.”
16 Īsā ne jawāb meṅ kahā, “Kisī ādmī ne ek baṛī ziyāfat kā intazām kiyā. Is ke lie us ne bahut-se logoṅ ko dāwat dī. 17 Jab ziyāfat kā waqt āyā to us ne apne naukar ko mehmānoṅ ko ittalā dene ke lie bhejā ki ‘Āeṅ, sab kuchh taiyār hai.’ 18 Lekin wuh sab ke sab māzarat chāhne lage. Pahle ne kahā, ‘Maiṅ ne khet ḳharīdā hai aur ab zarūrī hai ki nikal kar us kā muāynā karūṅ. Maiṅ māzarat chāhtā hūṅ.’ 19 Dūsre ne kahā, ‘Maiṅ ne bailoṅ ke pāṅch joṛe ḳharīde haiṅ. Ab maiṅ unheṅ āzmāne jā rahā hūṅ. Maiṅ māzarat chāhtā hūṅ.’ 20 Tīsre ne kahā, ‘Maiṅ ne shādī kī hai, is lie nahīṅ ā saktā.’
21 Naukar ne wāpas ā kar mālik ko sab kuchh batāyā. Wuh ġhusse ho kar naukar se kahne lagā, ‘Jā, sīdhe shahr kī saṛakoṅ aur galiyoṅ meṅ jā kar wahāṅ ke ġharīboṅ, langaṛoṅ, andhoṅ aur maflūjoṅ ko le ā.’ Naukar ne aisā hī kiyā. 22 Phir wāpas ā kar us ne mālik ko ittalā dī, ‘Janāb, jo kuchh āp ne kahā thā pūrā ho chukā hai. Lekin ab bhī mazīd logoṅ ke lie gunjāish hai.’ 23 Mālik ne us se kahā, phir shahr se nikal kar dehāt kī saṛakoṅ par aur bāṛoṅ ke pās jā. Jo bhī mil jāe use hamārī ḳhushī meṅ sharīk hone par majbūr kar tāki merā ghar bhar jāe. 24 Kyoṅki maiṅ tum ko batātā hūṅ ki jin ko pahle dāwat dī gaī thī un meṅ se koī bhī merī ziyāfat meṅ sharīk na hogā.”
Shāgird Hone kī Qīmat
25 Ek baṛā hujūm Īsā ke sāth chal rahā thā. Un kī taraf muṛ kar us ne kahā, 26 “Agar koī mere pās ā kar apne bāp, māṅ, bīwī, bachchoṅ, bhāiyoṅ, bahnoṅ balki apne āp se bhī dushmanī na rakhe to wuh merā shāgird nahīṅ ho saktā. 27 Aur jo apnī salīb uṭhā kar mere pīchhe na ho le wuh merā shāgird nahīṅ ho saktā.
28 Agar tum meṅ se koī burj tāmīr karnā chāhe to kyā wuh pahle baiṭh kar pūre aḳhrājāt kā andāzā nahīṅ lagāegā tāki mālūm ho jāe ki wuh use takmīl tak pahuṅchā sakegā yā nahīṅ? 29 Warnā ḳhatrā hai ki us kī buniyād ḍālne ke bād paise ḳhatm ho jāeṅ aur wuh āge kuchh na banā sake. Phir jo koī bhī dekhegā wuh us kā mazāq uṛā kar 30 kahegā, ‘Us ne imārat ko shurū to kiyā, lekin ab use mukammal nahīṅ kar pāyā.’
31 Yā agar koī bādshāh kisī dūsre bādshāh ke sāth jang ke lie nikle to kyā wuh pahle baiṭh kar andāzā nahīṅ lagāegā ki wuh apne das hazār faujiyoṅ se un bīs hazār faujiyoṅ par ġhālib ā saktā hai jo us se laṛne ā rahe haiṅ? 32 Agar wuh is natīje par pahuṅche ki ġhālib nahīṅ ā saktā to wuh sulah karne ke lie apne numāinde dushman ke pās bhejegā jab wuh abhī dūr hī ho. 33 Isī tarah tum meṅ se jo bhī apnā sab kuchh na chhoṛe wuh merā shāgird nahīṅ ho saktā.
Bekār Namak
34 Namak achchhī chīz hai. Lekin agar us kā zāyqā jātā rahe to phir use kyoṅkar dubārā namkīn kiyā jā saktā hai? 35 Na wuh zamīn ke lie mufīd hai, na khād ke lie balki use nikāl kar bāhar phaiṅkā jāegā. Jo sun saktā hai wuh sun le.”