22
Īsā ke ḳhilāf Mansūbābandiyāṅ
1 Beḳhamīrī Roṭī kī Īd yānī Fasah kī Īd qarīb ā gaī thī. 2 Rāhnumā imām aur sharīat ke ulamā Īsā ko qatl karne kā koī mauzūṅ mauqā ḍhūnḍ rahe the, kyoṅki wuh awām ke radd-e-amal se ḍarte the.
Īsā ko Dushman ke Hawāle Karne kā Mansūbā
3 Us waqt Iblīs Yahūdāh Iskariyotī meṅ samā gayā jo bārah rasūloṅ meṅ se thā. 4 Ab wuh rāhnumā imāmoṅ aur Baitul-muqaddas ke pahredāroṅ ke afsaroṅ se milā aur un se bāt karne lagā ki wuh Īsā ko kis tarah un ke hawāle kar sakegā. 5 Wuh ḳhush hue aur use paise dene par muttafiq hue. 6 Yahūdāh razāmand huā. Ab se wuh is talāsh meṅ rahā ki Īsā ko aise mauqe par un ke hawāle kare jab hujūm us ke pās na ho.
Fasah kī Īd ke lie Taiyāriyāṅ
7 Beḳhamīrī Roṭī kī Īd āī jab Fasah ke lele ko qurbān karnā thā. 8 Īsā ne Patras aur Yūhannā ko āge bhej kar hidāyat kī, “Jāo, hamāre lie Fasah kā khānā taiyār karo tāki ham jā kar use khā sakeṅ.”
9 Unhoṅ ne pūchhā, “Ham use kahāṅ taiyār kareṅ?”
10 Us ne jawāb diyā, “Jab tum shahr meṅ dāḳhil hoge to tumhārī mulāqāt ek ādmī se hogī jo pānī kā ghaṛā uṭhāe chal rahā hogā. Us ke pīchhe chal kar us ghar meṅ dāḳhil ho jāo jis meṅ wuh jāegā. 11 Wahāṅ ke mālik se kahnā, ‘Ustād āp se pūchhte haiṅ ki wuh kamrā kahāṅ hai jahāṅ maiṅ apne shāgirdoṅ ke sāth Fasah kā khānā khāūṅ?’ 12 Wuh tum ko dūsrī manzil par ek baṛā aur sajā huā kamrā dikhāegā. Fasah kā khānā wahīṅ taiyār karnā.”
13 Donoṅ chale gae to sab kuchh waisā hī pāyā jaisā Īsā ne unheṅ batāyā thā. Phir unhoṅ ne Fasah kā khānā taiyār kiyā.
Fasah kā Āḳhirī Khānā
14 Muqarrarā waqt par Īsā apne shāgirdoṅ ke sāth khāne ke lie baiṭh gayā. 15 Us ne un se kahā, “Merī shadīd ārzū thī ki dukh uṭhāne se pahle tumhāre sāth mil kar Fasah kā yih khānā khāūṅ. 16 Kyoṅki maiṅ tum ko batātā hūṅ ki us waqt tak is khāne meṅ sharīk nahīṅ hūṅgā jab tak is kā maqsad Allāh kī bādshāhī meṅ pūrā na ho gayā ho.”
17 Phir us ne mai kā pyālā le kar shukrguzārī kī duā kī aur kahā, “Is ko le kar āpas meṅ bāṅṭ lo. 18 Maiṅ tum ko batātā hūṅ ki ab se maiṅ angūr kā ras nahīṅ piyūṅgā, kyoṅki aglī dafā ise Allāh kī bādshāhī ke āne par piyūṅgā.”
19 Phir us ne roṭī le kar shukrguzārī kī duā kī aur use ṭukṛe karke unheṅ de diyā. Us ne kahā, “Yih merā badan hai, jo tumhāre lie diyā jātā hai. Mujhe yād karne ke lie yihī kiyā karo.” 20 Isī tarah us ne khāne ke bād pyālā le kar kahā, “Mai kā yih pyālā wuh nayā ahd hai jo mere ḳhūn ke zariye qāym kiyā jātā hai, wuh ḳhūn jo tumhāre lie bahāyā jātā hai.
21 Lekin jis shaḳhs kā hāth mere sāth khānā khāne meṅ sharīk hai wuh mujhe dushman ke hawāle kar degā. 22 Ibn-e-Ādam to Allāh kī marzī ke mutābiq kūch kar jāegā, lekin us shaḳhs par afsos jis ke wasīle se use dushman ke hawāle kar diyā jāegā.”
23 Yih sun kar shāgird ek dūsre se bahs karne lage ki ham meṅ se yih kaun ho saktā hai jo is qism kī harkat karegā.
Kaun Baṛā Hai?
24 Phir ek aur bāt bhī chhiṛ gaī. Wuh ek dūsre se bahs karne lage ki ham meṅ se kaun sab se baṛā samjhā jāe. 25 Lekin Īsā ne un se kahā, “Ġhairyahūdī qaumoṅ meṅ bādshāh wuhī haiṅ jo dūsroṅ par hukūmat karte haiṅ, aur iḳhtiyār wāle wuhī haiṅ jinheṅ ‘Mohsin’ kā laqab diyā jātā hai. 26 Lekin tum ko aisā nahīṅ honā chāhie. Is ke bajāe jo sab se baṛā hai wuh sab se chhoṭe laṛke kī mānind ho aur jo rāhnumāī kartā hai wuh naukar jaisā ho. 27 Kyoṅki ām taur par kaun zyādā baṛā hotā hai, wuh jo khāne ke lie baiṭhā hai yā wuh jo logoṅ kī ḳhidmat ke lie hāzir hotā hai? Kyā wuh nahīṅ jo khāne ke lie baiṭhā hai? Beshak. Lekin maiṅ ḳhidmat karne wāle kī haisiyat se hī tumhāre darmiyān hūṅ.
28 Dekho, tum wuhī ho jo merī tamām āzmāishoṅ ke daurān mere sāth rahe ho. 29 Chunāṅche meṅ tum ko bādshāhī atā kartā hūṅ jis tarah Bāp ne mujhe bhī bādshāhī atā kī hai. 30 Tum merī bādshāhī meṅ merī mez par baiṭh kar mere sāth khāo aur piyoge, aur taḳhtoṅ par baiṭh kar Isrāīl ke bārah qabīloṅ kā insāf karoge.
Patras ke Inkār kī Peshgoī
31 Shamāūn, Shamāūn! Iblīs ne tum logoṅ ko gandum kī tarah phaṭakne kā mutālabā kiyā hai. 32 Lekin maiṅ ne tere lie duā kī hai tāki terā īmān jātā na rahe. Aur jab tū muṛ kar wāpas āe to us waqt apne bhāiyoṅ ko mazbūt karnā.”
33 Patras ne jawāb diyā, “Ḳhudāwand, maiṅ to āp ke sāth jel meṅ bhī jāne balki marne ko taiyār hūṅ.”
34 Īsā ne kahā, “Patras, maiṅ tujhe batātā hūṅ ki kal subah murġh ke bāṅg dene se pahle pahle tū tīn bār mujhe jānane se inkār kar chukā hogā.”
Ab Baṭwe, Baig aur Talwār kī Zarūrat Hai
35 Phir us ne un se pūchhā, “Jab maiṅ ne tum ko baṭwe, sāmān ke lie baig aur jūtoṅ ke baġhair bhej diyā to kyā tum kisī bhī chīz se mahrūm rahe?”
Unhoṅ ne jawāb diyā, “Kisī se nahīṅ.”
36 Us ne kahā, “Lekin ab jis ke pās baṭwā yā baig ho wuh use sāth le jāe, balki jis ke pās talwār na ho wuh apnī chādar bech kar talwār ḳharīd le. 37 Kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai, ‘Use mujrimoṅ meṅ shumār kiyā gayā’ aur maiṅ tum ko batātā hūṅ, lāzim hai ki yih bāt mujh meṅ pūrī ho jāe. Kyoṅki jo kuchh mere bāre meṅ likhā hai use pūrā hī honā hai.”
38 Unhoṅ ne kahā, “Ḳhudāwand, yahāṅ do talwāreṅ haiṅ.” Us ne kahā, “Bas! Kāfī hai!”
Zaitūn ke Pahāṛ par Īsā kī Duā
39 Phir wuh shahr se nikal kar māmūl ke mutābiq Zaitūn ke pahāṛ kī taraf chal diyā. Us ke shāgird us ke pīchhe ho lie. 40 Wahāṅ pahuṅch kar us ne un se kahā, “Duā karo tāki āzmāish meṅ na paṛo.”
41 Phir wuh unheṅ chhoṛ kar kuchh āge niklā, taqrīban itne fāsile par jitnī dūr tak patthar phaiṅkā jā saktā hai. Wahāṅ wuh jhuk kar duā karne lagā, 42 “Ai Bāp, agar tū chāhe to yih pyālā mujh se haṭā le. Lekin merī nahīṅ balki terī marzī pūrī ho.” 43 Us waqt ek farishte ne āsmān par se us par zāhir ho kar us ko taqwiyat dī. 44 Wuh saḳht pareshān ho kar zyādā dilsozī se duā karne lagā. Sāth sāth us kā pasīnā ḳhūn kī būṅdoṅ kī tarah zamīn par ṭapakne lagā.
45 Jab wuh duā se fāriġh ho kar khaṛā huā aur shāgirdoṅ ke pās wāpas āyā to dekhā ki wuh ġham ke māre so gae haiṅ. 46 Us ne un se kahā, “Tum kyoṅ so rahe ho? Uṭh kar duā karte raho tāki āzmāish meṅ na paṛo.”
Īsā kī Giriftārī
47 Wuh abhī yih bāt kar hī rahā thā ki ek hujūm ā pahuṅchā jis ke āge āge Yahūdāh chal rahā thā. Wuh Īsā ko bosā dene ke lie us ke pās āyā. 48 Lekin us ne kahā, “Yahūdāh, kyā tū Ibn-e-Ādam ko bosā de kar dushman ke hawāle kar rahā hai?”
49 Jab us ke sāthiyoṅ ne bhāṅp liyā ki ab kyā hone wālā hai to unhoṅ ne kahā, “Ḳhudāwand, kyā ham talwār chalāeṅ?” 50 Aur un meṅ se ek ne apnī talwār se imām-e-āzam ke ġhulām kā dahnā kān uṛā diyā.
51 Lekin Īsā ne kahā, “Bas kar!” Us ne ġhulām kā kān chhū kar use shifā dī. 52 Phir wuh un rāhnumā imāmoṅ, Baitul-muqaddas ke pahredāroṅ ke afsaroṅ aur buzurgoṅ se muḳhātib huā jo us ke pās āe the, “Kyā maiṅ ḍākū hūṅ ki tum talwāreṅ aur lāṭhiyāṅ lie mere ḳhilāf nikle ho? 53 Maiṅ to rozānā Baitul-muqaddas meṅ tumhāre pās thā, magar tum ne wahāṅ mujhe hāth nahīṅ lagāyā. Lekin ab yih tumhārā waqt hai, wuh waqt jab tārīkī hukūmat kartī hai.”
Patras Īsā ko Jānane se Inkār Kartā Hai
54 Phir wuh use giriftār karke imām-e-āzam ke ghar le gae. Patras kuchh fāsile par un ke pīchhe pīchhe wahāṅ pahuṅch gayā. 55 Log sahan meṅ āg jalā kar us ke irdgird baiṭh gae. Patras bhī un ke darmiyān baiṭh gayā. 56 Kisī naukarānī ne use wahāṅ āg ke pās baiṭhe hue dekhā. Us ne use ghūr kar kahā, “Yih bhī us ke sāth thā.”
57 Lekin us ne inkār kiyā, “Ḳhātūn, maiṅ use nahīṅ jāntā.”
58 Thoṛī der ke bād kisī ādmī ne use dekhā aur kahā, “Tum bhī un meṅ se ho.”
Lekin Patras ne jawāb diyā, “Nahīṅ bhaī! Maiṅ nahīṅ hūṅ.”
59 Taqrīban ek ghanṭā guzar gayā to kisī aur ne isrār karke kahā, “Yih ādmī yaqīnan us ke sāth thā, kyoṅki yih bhī Galīl kā rahne wālā hai.”
60 Lekin Patras ne jawāb diyā, “Yār, maiṅ nahīṅ jāntā ki tum kyā kah rahe ho!”
Wuh abhī bāt kar hī rahā thā ki achānak murġh kī bāṅg sunāī dī. 61 Ḳhudāwand ne muṛ kar Patras par nazar ḍālī. Phir Patras ko Ḳhudāwand kī wuh bāt yād āī jo us ne us se kahī thī ki “Kal subah murġh ke bāṅg dene se pahle pahle tū tīn bār mujhe jānane se inkār kar chukā hogā.” 62 Patras wahāṅ se nikal kar ṭūṭe dil se ḳhūb royā.
Lān-tān aur Piṭāī
63 Pahredār Īsā kā mazāq uṛāne aur us kī piṭāī karne lage. 64 Unhoṅ ne us kī āṅkhoṅ par paṭṭī bāndh kar pūchhā, “Nabuwwat kar ki kis ne tujhe mārā?” 65 Is tarah kī aur bahut-sī bātoṅ se wuh us kī be'izzatī karte rahe.
Yahūdī Adālat-e-Āliyā ke sāmne Peshī
66 Jab din chaṛhā to rāhnumā imāmoṅ aur sharīat ke ulamā par mushtamil qaum kī majlis ne jamā ho kar use Yahūdī adālat-e-āliyā meṅ pesh kiyā. 67 Unhoṅ ne kahā, “Agar tū Masīh hai to hameṅ batā!”
Īsā ne jawāb diyā, “Agar maiṅ tum ko batāūṅ to tum merī bāt nahīṅ mānoge, 68 aur agar tum se pūchhūṅ to tum jawāb nahīṅ doge. 69 Lekin ab se Ibn-e-Ādam Allāh T'ālā ke dahne hāth baiṭhā hogā.”
70 Sab ne pūchhā, “To phir kyā tū Allāh kā Farzand hai?”
Us ne jawāb diyā, “Jī, tum ḳhud kahte ho.”
71 Is par unhoṅ ne kahā, “Ab hameṅ kisī aur gawāhī kī kyā zarūrat rahī? Kyoṅki ham ne yih bāt us ke apne muṅh se sun lī hai.”