2
Mashriq se Majūsī Ālim
1 Īsā Herodes Bādshāh ke zamāne meṅ sūbā Yahūdiyā ke shahr Bait-laham meṅ paidā huā. Un dinoṅ meṅ kuchh majūsī ālim mashriq se ā kar Yarūshalam pahuṅch gae. 2 Unhoṅ ne pūchhā, “Yahūdiyoṅ kā wuh bādshāh kahāṅ hai jo hāl hī meṅ paidā huā hai? Kyoṅki ham ne mashriq meṅ us kā sitārā dekhā hai aur ham use sijdā karne āe haiṅ.”
3 Yih sun kar Herodes Bādshāh pūre Yarūshalam samet ghabrā gayā. 4 Tamām rāhnumā imāmoṅ aur sharīat ke ulamā ko jamā karke us ne un se dariyāft kiyā ki Masīh kahāṅ paidā hogā.
5 Unhoṅ ne jawāb diyā, “Yahūdiyā ke shahr Bait-laham meṅ, kyoṅki nabī kī mārifat yoṅ likhā hai, 6 ‘Ai Mulk-e-Yahūdiyā meṅ wāqe Bait-laham, tū Yahūdiyā ke hukmrānoṅ meṅ hargiz sab se chhoṭā nahīṅ. Kyoṅki tujh meṅ se ek hukmrān niklegā jo merī qaum Isrāīl kī gallābānī karegā.’ ”
7 Is par Herodes ne ḳhufiyā taur par majūsī ālimoṅ ko bulā kar tafsīl se pūchhā ki wuh sitārā kis waqt dikhāī diyā thā. 8 Phir us ne unheṅ batāyā, “Bait-laham jāeṅ aur tafsīl se bachche kā patā lagāeṅ. Jab āp use pā leṅ to mujhe ittalā deṅ tāki maiṅ bhī jā kar use sijdā karūṅ.”
9 Bādshāh ke in alfāz ke bād wuh chale gae. Aur dekho jo sitārā unhoṅ ne mashriq meṅ dekhā thā wuh un ke āge āge chaltā gayā aur chalte chalte us maqām ke ūpar ṭhahar gayā jahāṅ bachchā thā. 10 Sitāre ko dekh kar wuh bahut ḳhush hue. 11 Wuh ghar meṅ dāḳhil hue aur bachche ko māṅ ke sāth dekh kar unhoṅ ne aundhe muṅh gir kar use sijdā kiyā. Phir apne ḍibbe khol kar use sone, lubān aur mur ke tohfe pesh kie.
12 Jab rawānagī kā waqt āyā to wuh Yarūshalam se ho kar na gae balki ek aur rāste se apne mulk chale gae. Kyoṅki unheṅ ḳhāb meṅ āgāh kiyā gayā thā ki Herodes ke pās wāpas na jāo.
Misr kī Jānib Hijrat
13 Un ke chale jāne ke bād Rab kā farishtā ḳhāb meṅ Yūsuf par zāhir huā aur kahā, “Uṭh, bachche ko us kī māṅ samet le kar Misr ko hijrat kar jā. Jab tak maiṅ tujhe ittalā na dūṅ wahīṅ ṭhahrā rah, kyoṅki Herodes bachche ko talāsh karegā tāki use qatl kare.”
14 Yūsuf uṭhā aur usī rāt bachche ko us kī māṅ samet le kar Misr ke lie rawānā huā. 15 Wahāṅ wuh Herodes ke intaqāl tak rahā. Yoṅ wuh bāt pūrī huī jo Rab ne nabī kī mārifat farmāī thī, “Maiṅ ne apne farzand ko Misr se bulāyā.”
Bachchoṅ kā Qatl
16 Jab Herodes ko mālūm huā ki majūsī ālimoṅ ne mujhe fareb diyā hai to use baṛā taish āyā. Us ne apne faujiyoṅ ko Bait-laham bhej kar unheṅ hukm diyā ki Bait-laham aur irdgird ke ilāqe ke un tamām laṛkoṅ ko qatl kareṅ jin kī umr do sāl tak ho. Kyoṅki us ne majūsiyoṅ se bachche kī umr ke bāre meṅ yih mālūm kar liyā thā.
17 Yoṅ Yarmiyāh Nabī kī peshgoī pūrī huī, 18 “Rāmā meṅ shor mach gayā hai, rone pīṭne aur shadīd mātam kī āwāzeṅ. Rāḳhil apne bachchoṅ ke lie ro rahī hai aur tasallī qabūl nahīṅ kar rahī, kyoṅki wuh halāk ho gae haiṅ.”
Misr se Wāpasī
19 Jab Herodes intaqāl kar gayā to Rab kā farishtā ḳhāb meṅ Yūsuf par zāhir huā jo abhī Misr hī meṅ thā. 20 Farishte ne use batāyā, “Uṭh, bachche ko us kī māṅ samet le kar Mulk-e-Isrāīl wāpas chalā jā, kyoṅki jo bachche ko jān se mārne ke darpai the wuh mar gae haiṅ.” 21 Chunāṅche Yūsuf uṭhā aur bachche aur us kī māṅ ko le kar Mulk-e-Isrāīl meṅ lauṭ āyā.
22 Lekin jab us ne sunā ki Arḳhilāus apne bāp Herodes kī jagah Yahūdiyā meṅ taḳhtnashīn ho gayā hai to wuh wahāṅ jāne se ḍar gayā. Phir ḳhāb meṅ hidāyat pā kar wuh Galīl ke ilāqe ke lie rawānā huā. 23 Wahāṅ wuh ek shahr meṅ jā basā jis kā nām Nāsarat thā. Yoṅ nabiyoṅ kī bāt pūrī huī ki ‘Wuh Nāsarī kahlāegā.’