Nahmiyāh
1
Nahmiyāh Yarūshalam ke lie Duā Kartā Hai
1 Zail meṅ Nahmiyāh bin Hakaliyāh kī riporṭ darj hai.
Maiṅ Artaḳhshastā Bādshāh kī hukūmat ke 20weṅ sāl Kislew ke mahīne meṅ Sosan ke qile meṅ thā 2 ki ek din merā bhāī Hanānī mujh se milne āyā. Us ke sāth Yahūdāh ke chand ek ādmī the. Maiṅ ne un se pūchhā, “Jo Yahūdī bach kar jilāwatanī se Yahūdāh wāpas gae haiṅ un kā kyā hāl hai? Aur Yarūshalam Shahr kā kyā hāl hai?” 3 Unhoṅ ne jawāb diyā, “Jo Yahūdī bach kar jilāwatanī se Yahūdāh wāpas gae haiṅ un kā bahut burā aur zillatāmez hāl hai. Yarūshalam kī fasīl ab tak zamīnbos hai, aur us ke tamām darwāze rākh ho gae haiṅ.”
4 Yih sun kar maiṅ baiṭh kar rone lagā. Kaī din maiṅ rozā rakh kar mātam kartā aur āsmān ke Ḳhudā se duā kartā rahā,
5 “Ai Rab, āsmān ke Ḳhudā, tū kitnā azīm aur mahīb Ḳhudā hai! Jo tujhe pyār aur tere ahkām kī pairawī karte haiṅ un ke sāth tū apnā ahd qāym rakhtā aur un par mehrbānī kartā hai. 6 Merī bāt sun kar dhyān de ki terā ḳhādim kis tarah tujh se iltamās kar rahā hai. Din rāt maiṅ Isrāīliyoṅ ke lie jo tere ḳhādim haiṅ duā kartā hūṅ. Maiṅ iqrār kartā hūṅ ki ham ne terā gunāh kiyā hai. Is meṅ maiṅ aur mere bāp kā gharānā bhī shāmil hai. 7 Ham ne tere ḳhilāf nihāyat sharīr qadam uṭhāe haiṅ, kyoṅki jo ahkām aur hidāyāt tū ne apne ḳhādim Mūsā ko dī thīṅ ham un ke tābe na rahe. 8 Lekin ab wuh kuchh yād kar jo tū ne apne ḳhādim ko farmāyā, ‘Agar tum bewafā ho jāo to maiṅ tumheṅ muḳhtalif qaumoṅ meṅ muntashir kar dūṅgā, 9 lekin agar tum mere pās wāpas ā kar dubārā mere ahkām ke tābe ho jāo to maiṅ tumheṅ tumhāre watan meṅ wāpas lāūṅgā, ḳhāh tum zamīn kī intahā tak kyoṅ na pahuṅch gae ho. Maiṅ tumheṅ us jagah wāpas lāūṅgā jise maiṅ ne chun liyā hai tāki merā nām wahāṅ sukūnat kare.’ 10 Ai Rab, yih log to tere apne ḳhādim haiṅ, terī apnī qaum jise tū ne apnī azīm qudrat aur qawī hāth se fidyā de kar chhuṛāyā hai. 11 Ai Rab, apne ḳhādim aur un tamām ḳhādimoṅ kī iltamās sun jo pūre dil se tere nām kā ḳhauf mānte haiṅ. Jab terā ḳhādim āj shahanshāh ke pās hogā to use kāmyābī atā kar. Baḳhsh de ki wuh mujh par rahm kare.”
Maiṅ ne yih is lie kahā ki maiṅ shahanshāh kā sāqī thā.