3
Allāh ke Ḳhauf aur Hikmat kī Barkat
1 Mere beṭe, merī hidāyat mat bhūlnā. Mere ahkām tere dil meṅ mahfūz raheṅ. 2 Kyoṅki inhīṅ se terī zindagī ke dinoṅ aur sāloṅ meṅ izāfā hogā aur terī ḳhushhālī baṛhegī. 3 Shafqat aur wafā terā dāman na chhoṛeṅ. Unheṅ apne gale se bāndhnā, apne dil kī taḳhtī par kandā karnā. 4 Tab tujhe Allāh aur insān ke sāmne mehrbānī aur qabūliyat hāsil hogī.
5 Pūre dil se Rab par bharosā rakh, aur apnī aql par takiyā na kar. 6 Jahāṅ bhī tū chale sirf usī ko jān le, phir wuh ḳhud terī rāhoṅ ko hamwār karegā. 7 Apne āp ko dānishmand mat samajhnā balki Rab kā ḳhauf mān kar burāī se dūr rah. 8 Is se terā badan sehhat pāegā aur terī haḍḍiyāṅ tar-o-tāzā ho jāeṅgī. 9 Apnī milkiyat aur apnī tamām paidāwār ke pahle phal se Rab kā ehtirām kar, 10 phir tere godām anāj se bhar jāeṅge aur tere bartan mai se chhalak uṭheṅge.
11 Mere beṭe, Rab kī tarbiyat ko radd na kar, jab wuh tujhe ḍānṭe to ranjīdā na ho. 12 Kyoṅki jo Rab ko pyārā hai us kī wuh tādīb kartā hai, jis tarah bāp us beṭe ko tambīh kartā hai jo use pasand hai.
Haqīqī Daulat
13 Mubārak hai wuh jo hikmat pātā hai, jise samajh hāsil hotī hai. 14 Kyoṅki hikmat chāṅdī se kahīṅ zyādā sūdmand hai, aur us se sone se kahīṅ zyādā qīmtī chīzeṅ hāsil hotī haiṅ. 15 Hikmat motiyoṅ se zyādā nafīs hai, tere tamām ḳhazāne us kā muqābalā nahīṅ kar sakte. 16 Us ke dahne hāth meṅ umr kī darāzī aur bāeṅ hāth meṅ daulat aur izzat hai. 17 Us kī rāheṅ ḳhushgawār, us ke tamām rāste puramn haiṅ. 18 Jo us kā dāman pakaṛ le us ke lie wuh zindagī kā daraḳht hai. Mubārak hai wuh jo us se lipṭā rahe. 19 Rab ne hikmat ke wasīle se hī zamīn kī buniyād rakhī, samajh ke zariye hī āsmān ko mazbūtī se lagāyā. 20 Us ke irfān se hī gahrāiyoṅ kā pānī phūṭ niklā aur āsmān se shabnam ṭapak kar zamīn par paṛtī hai.
21 Mere beṭe, dānāī aur tamīz apne pās mahfūz rakh aur unheṅ apnī nazar se dūr na hone de. 22 Un se terī jān tar-o-tāzā aur terā galā ārāstā rahegā. 23 Tab tū chalte waqt mahfūz rahegā, aur terā pāṅw ṭhokar nahīṅ khāegā. 24 Tū pāṅw phailā kar so sakegā, koī sadmā tujhe nahīṅ pahuṅchegā balki tū leṭ kar gahrī nīnd soegā. 25 Nāgahāṅ āfat se mat ḍarnā, na us tabāhī se jo bedīn par ġhālib ātī hai, 26 kyoṅki Rab par terā etamād hai, wuhī tere pāṅwoṅ ko phaṅs jāne se mahfūz rakhegā.
Dūsroṅ kī Madad Karne kī Nasīhat
27 Agar koī zarūratmand ho aur tū us kī madad kar sake to us ke sāth bhalāī karne se inkār na kar. 28 Agar tū āj kuchh de sake to apne paṛosī se mat kahnā, “Kal ānā to maiṅ āp ko kuchh de dūṅgā.” 29 Jo paṛosī befikr tere sāth rahtā hai us ke ḳhilāf bure mansūbe mat bāndhnā. 30 Jis ne tujhe nuqsān nahīṅ pahuṅchāyā adālat meṅ us par bebuniyād ilzām na lagānā.
31 Na zālim se hasad kar, na us kī koī rāh iḳhtiyār kar. 32 Kyoṅki burī rāh par chalne wāle se Rab ghin khātā hai jabki sīdhī rāh par chalne wāloṅ ko wuh apne rāzoṅ se āgāh kartā hai. 33 Bedīn ke ghar par Rab kī lānat ātī jabki rāstbāz ke ghar ko wuh barkat detā hai. 34 Mazāq uṛāne wāloṅ kā wuh mazāq uṛātā, lekin farotanoṅ par mehrbānī kartā hai. 35 Dānishmand mīrās meṅ izzat pāeṅge jabki ahmaq ke nasīb meṅ sharmindagī hogī.