45
Bādshāh kī Shādī
1 Qorah kī aulād kā zabūr. Hikmat aur muhabbat kā gīt. Tarz: Sosan ke Phūl. Mausīqī ke rāhnumā ke lie.
Mere dil se ḳhūbsūrat gīt chhalak rahā hai, maiṅ use bādshāh ko pesh karūṅga. Merī zabān māhir kātib ke qalam kī mānind ho!
2 Tū ādmiyoṅ meṅ sab se ḳhūbsūrat hai! Tere hoṅṭ shafqat se masah kie hue haiṅ, is lie Allāh ne tujhe abadī barkat dī hai.
3 Ai sūrme, apnī talwār se kamarbastā ho, apnī shān-o-shaukat se mulabbas ho jā!
4 Ġhalbā aur kāmyābī hāsil kar. Sachchāī, inkisārī aur rāstī kī ḳhātir laṛne ke lie nikal ā. Terā dahnā hāth tujhe hairatangez kām dikhāe.
5 Tere tez tīr bādshāh ke dushmanoṅ ke diloṅ ko chhed ḍāleṅ. Qaumeṅ tere pāṅwoṅ meṅ gir jāeṅ.
6 Ai Allāh, terā taḳht azal se abad tak qāym-o-dāym rahegā, aur insāf kā shāhī asā terī bādshāhī par hukūmat karegā.
7 Tū ne rāstbāzī se muhabbat aur bedīnī se nafrat kī, is lie Allāh tere Ḳhudā ne tujhe ḳhushī ke tel se masah karke tujhe tere sāthiyoṅ se kahīṅ zyādā sarfarāz kar diyā.
8 Mur, ūd aur amaltās kī beshqīmat ḳhushbū tere tamām kapṛoṅ se phailtī hai. Hāthīdāṅt ke mahaloṅ meṅ tārdār mausīqī terā dil bahlātī hai.
9 Bādshāhoṅ kī beṭiyāṅ tere zewarāt se sajī phirtī haiṅ. Malikā Ofīr kā sonā pahne hue tere dahne hāth khaṛī hai.
10 Ai beṭī, sun merī bāt! Ġhaur kar aur kān lagā. Apnī qaum aur apne bāp kā ghar bhūl jā.
11 Bādshāh tere husn kā ārzūmand hai, kyoṅki wuh terā āqā hai. Chunāṅche jhuk kar us kā ehtirām kar.
12 Sūr kī beṭī tohfā le kar āegī, qaum ke amīr terī nazar-e-karm hāsil karne kī koshish kareṅge.
13 Bādshāh kī beṭī kitnī shāndār chīzoṅ se ārāstā hai. Us kā libās sone ke dhāgoṅ se bunā huā hai.
14 Use nafīs rangdār kapṛe pahne bādshāh ke pās lāyā jātā hai. Jo kuṅwārī saheliyāṅ us ke pīchhe chaltī haiṅ unheṅ bhī tere sāmne lāyā jātā hai.
15 Log shādmān ho kar aur ḳhushī manāte hue unheṅ wahāṅ pahuṅchāte haiṅ, aur wuh shāhī mahal meṅ dāḳhil hotī haiṅ.
16 Ai bādshāh, tere beṭe tere bāpdādā kī jagah khaṛe ho jāeṅge, aur tū unheṅ ra'īs banā kar pūrī duniyā meṅ zimmedāriyāṅ degā.
17 Pusht-dar-pusht maiṅ tere nām kī tamjīd karūṅga, is lie qaumeṅ hameshā tak terī satāish kareṅgī.