70
Dushman se Najāt kī Duā
1 Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Yāddāsht ke lie.
Ai Allāh, jaldī se ā kar mujhe bachā! Ai Rab, merī madad karne meṅ jaldī kar!
2 Mere jānī dushman sharmindā ho jāeṅ, un kī saḳht ruswāī ho jāe. Jo merī musībat deḳhne se lutf uṭhāte haiṅ wuh pīchhe haṭ jāeṅ, un kā muṅh kālā ho jāe.
3 Jo merī musībat dekh kar qahqahā lagāte haiṅ wuh sharm ke māre pusht dikhāeṅ.
4 Lekin tere tālib shādmān ho kar terī ḳhushī manāeṅ. Jinheṅ terī najāt pyārī hai wuh hameshā kaheṅ, “Allāh azīm hai!”
5 Lekin maiṅ nāchār aur muhtāj hūṅ. Ai Allāh, jaldī se mere pās ā! Tū hī merā sahārā aur merā najātdahindā hai. Ai Rab, der na kar!