82
Sab se Ālā Munsif
1 Āsaf kā zabūr.
Allāh ilāhī majlis meṅ khaṛā hai, mābūdoṅ ke darmiyān wuh adālat kartā hai,
2 “Tum kab tak adālat meṅ ġhalat faisle karke bedīnoṅ kī jānibdārī karoge? (Silāh)
3 Pasthāloṅ aur yatīmoṅ kā insāf karo, musībatzadoṅ aur zarūratmandoṅ ke huqūq qāym rakho.
4 Pasthāloṅ aur ġharīboṅ ko bachā kar bedīnoṅ ke hāth se chhuṛāo.”
5 Lekin wuh kuchh nahīṅ jānte, unheṅ samajh hī nahīṅ ātī. Wuh tārīkī meṅ ṭaṭol ṭaṭol kar ghūmte-phirte haiṅ jabki zamīn kī tamām buniyādeṅ jhūmne lagī haiṅ.
6 Beshak maiṅ ne kahā, “Tum Ḳhudā ho, sab Allāh T'ālā ke farzand ho.
7 Lekin tum fānī insān kī tarah mar jāoge, tum dīgar hukmrānoṅ kī tarah gir jāoge.”
8 Ai Allāh, uṭh kar zamīn kī adālat kar! Kyoṅki tamām aqwām terī hī maurūsī milkiyat haiṅ.