88
Tark Kie Gae Shaḳhs ke lie Duā
1 Qorah kī aulād kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Tarz: Mahalat Lannot. Haimān Izrāhī kā hikmat kā gīt.
Ai Rab, ai merī najāt ke Ḳhudā, din rāt maiṅ tere huzūr chīḳhtā-chillātā hūṅ.
2 Merī duā tere huzūr pahuṅche, apnā kān merī chīḳhoṅ kī taraf jhukā.
3 Kyoṅki merī jān dukh se bharī hai, aur merī ṭāṅgeṅ qabr meṅ laṭkī huī haiṅ.
4 Mujhe un meṅ shumār kiyā jātā hai jo Pātāl meṅ utar rahe haiṅ. Maiṅ us mard kī mānind hūṅ jis kī tamām tāqat jātī rahī hai.
5 Mujhe murdoṅ meṅ tanhā chhoṛā gayā hai, qabr meṅ un maqtūloṅ kī tarah jin kā tū ab ḳhayāl nahīṅ rakhtā aur jo tere hāth ke sahāre se munqate ho gae haiṅ.
6 Tū ne mujhe sab se gahre gaṛhe meṅ, tārīktarīn gahrāiyoṅ meṅ ḍāl diyā hai.
7 Tere ġhazab kā pūrā bojh mujh par ā paṛā hai, tū ne mujhe apnī tamām maujoṅ ke nīche dabā diyā hai. (Silāh)
8 Tū ne mere qarībī dostoṅ ko mujh se dūr kar diyā hai, aur ab wuh mujh se ghin khāte haiṅ. Maiṅ phaṅsā huā hūṅ aur nikal nahīṅ saktā.
9 Merī āṅkheṅ ġham ke māre pazhmurdā ho gaī haiṅ. Ai Rab, din-bhar maiṅ tujhe pukārtā, apne hāth terī taraf uṭhāe rakhtā hūṅ.
10 Kyā tū murdoṅ ke lie mojize karegā? Kyā Pātāl ke bāshinde uṭh kar terī tamjīd kareṅge? (Silāh)
11 Kyā log qabr meṅ terī shafqat yā Pātāl meṅ terī wafā bayān kareṅge?
12 Kyā tārīkī meṅ tere mojize yā Mulk-e-farāmosh meṅ terī rāstī mālūm ho jāegī?
13 Lekin ai Rab, maiṅ madad ke lie tujhe pukārtā hūṅ, merī duā subah-sawere tere sāmne ā jātī hai.
14 Ai Rab, tū merī jān ko kyoṅ radd kartā, apne chehre ko mujh se poshīdā kyoṅ rakhtā hai?
15 Maiṅ musībatzadā aur jawānī se maut ke qarīb rahā hūṅ. Tere dahshatnāk hamle bardāsht karte karte maiṅ jān se hāth dho baiṭhā hūṅ.
16 Terā bhaṛaktā qahr mujh par se guzar gayā, tere haulnāk kāmoṅ ne mujhe nābūd kar diyā hai.
17 Din-bhar wuh mujhe sailāb kī tarah ghere rakhte haiṅ, har taraf se mujh par hamlā-āwar hote haiṅ.
18 Tū ne mere dostoṅ aur paṛosiyoṅ ko mujh se dūr kar rakhā hai. Tārīkī hī merī qarībī dost ban gaī hai.