108
Jang meṅ Rab par Ummīd
1 Dāūd kā zabūr. Gīt.
Ai Allāh, merā dil mazbūt hai. Maiṅ sāz bajā kar terī madahsarāī karūṅga. Ai merī jān, jāg uṭh.
2 Ai sitār aur sarod, jāg uṭho! Maiṅ tulū-e-subah ko jagāūṅgā.
3 Ai Rab, maiṅ qaumoṅ meṅ terī satāish, ummatoṅ meṅ terī madahsarāī karūṅga.
4 Kyoṅki terī shafqat āsmān se kahīṅ buland hai, terī wafādārī bādaloṅ tak pahuṅchtī hai.
5 Ai Allāh, āsmān par sarfarāz ho! Terā jalāl pūrī duniyā par chhā jāe.
6 Apne dahne hāth se madad karke merī sun tāki jo tujhe pyāre haiṅ najāt pāeṅ.
7 Allāh ne apne maqdis meṅ farmāyā hai, “Maiṅ fatah manāte hue Sikam ko taqsīm karūṅga aur Wādī-e-Sukkāt ko nāp kar bāṅṭ dūṅgā.
8 Jiliyād merā hai aur Manassī merā hai. Ifrāīm merā ḳhod aur Yahūdāh merā shāhī asā hai.
9 Moāb merā ġhusl kā bartan hai, aur Adom par maiṅ apnā jūtā phaiṅk dūṅgā. Maiṅ Filistī mulk par zordār nāre lagāūṅgā!”
10 Kaun mujhe qilāband shahr meṅ lāegā? Kaun merī rāhnumāī karke mujhe Adom tak pahuṅchāegā?
11 Ai Allāh, tū hī yih kar saktā hai, go tū ne hameṅ radd kiyā hai. Ai Allāh, tū hamārī faujoṅ kā sāth nahīṅ detā jab wuh laṛne ke lie nikaltī haiṅ.
12 Musībat meṅ hameṅ sahārā de, kyoṅki is waqt insānī madad bekār hai.
13 Allāh ke sāth ham zabardast kām kareṅge, kyoṅki wuhī hamāre dushmanoṅ ko kuchal degā.