113
Allāh kī Azmat aur Mehrbānī
1 Rab kī hamd ho! Ai Rab ke ḳhādimo, Rab ke nām kī satāish karo, Rab ke nām kī tārīf karo.
2 Rab ke nām kī ab se abad tak tamjīd ho.
3 Tulū-e-subah se ġhurūb-e-āftāb tak Rab ke nām kī hamd ho.
4 Rab tamām aqwām se sarbuland hai, us kā jalāl āsmān se azīm hai.
5 Kaun Rab hamāre Ḳhudā kī mānind hai jo bulandiyoṅ par taḳhtnashīn hai
6 aur āsmān-o-zamīn ko deḳhne ke lie nīche jhuktā hai?
7 Pasthāl ko wuh ḳhāk meṅ se uṭhā kar pāṅwoṅ par khaṛā kartā, muhtāj ko rākh se nikāl kar sarfarāz kartā hai.
8 Wuh use shurafā ke sāth, apnī qaum ke shurafā ke sāth biṭhā detā hai.
9 Bāṅjh ko wuh aulād atā kartā hai tāki wuh ghar meṅ ḳhushī se zindagī guzār sake. Rab kī hamd ho!