6
Muhreṅ Toṛī Jātī Haiṅ
1 Phir maiṅ ne dekhā, Lele ne sāt muhroṅ meṅ se pahlī muhr ko kholā. Is par maiṅ ne chār jāndāroṅ meṅ se ek ko jis kī āwāz kaṛakte bādaloṅ kī mānind thī yih kahte hue sunā, “Ā!” 2 Mere deḳhte deḳhte ek safed ghoṛā nazar āyā. Us ke sawār ke hāth meṅ kamān thī, aur use ek tāj diyā gayā. Yoṅ wuh fāteh kī haisiyat se aur fatah pāne ke lie wahāṅ se niklā.
3 Lele ne dūsrī muhr kholī to maiṅ ne dūsre jāndār ko kahte hue sunā ki “Ā!” 4 Is par ek aur ghoṛā niklā jo āg jaisā surḳh thā. Us ke sawār ko duniyā se sulah-salāmatī chhīnane kā iḳhtiyār diyā gayā tāki log ek dūsre ko qatl kareṅ. Use ek baṛī talwār pakaṛāī gaī.
5 Lele ne tīsrī muhr kholī to maiṅ ne tīsre jāndār ko kahte hue sunā ki “Ā!” Mere deḳhte deḳhte ek kālā ghoṛā nazar āyā. Us ke sawār ke hāth meṅ tarāzū thā. 6 Aur maiṅ ne chāroṅ jāndāroṅ meṅ se goyā ek āwāz sunī jis ne kahā, “Ek din kī mazdūrī ke lie ek kilogrām gandum, aur ek din kī mazdūrī ke lie tīn kilogrām jau. Lekin tel aur mai ko nuqsān mat pahuṅchānā.”
7 Lele ne chauthī muhr kholī to maiṅ ne chauthe jāndār ko kahte sunā ki “Ā!” 8 Mere deḳhte deḳhte ek ghoṛā nazar āyā jis kā rang halkā pīlā-sā thā. Us ke sawār kā nām Maut thā, aur Pātāl us ke pīchhe pīchhe chal rahī thī. Unheṅ zamīn kā chauthā hissā qatl karne kā iḳhtiyār diyā gayā, ḳhāh talwār, kāl, mohlak wabā yā wahshī jānwaroṅ ke zariye se ho.
9 Lele ne pāṅchwīṅ muhr kholī to maiṅ ne qurbāngāh ke nīche un kī rūh dekhīṅ jo Allāh ke kalām aur apnī gawāhī qāym rakhne kī wajah se shahīd ho gae the. 10 Unhoṅ ne ūṅchī āwāz se chillā kar kahā, “Ai Qādir-e-mutlaq, quddūs aur sachche Rab, kitnī der aur lagegī? Tū kab tak zamīn ke bāshindoṅ kī adālat karke hamāre shahīd hone kā intaqām na legā?” 11 Tab un meṅ se har ek ko ek safed libās diyā gayā, aur unheṅ samjhāyā gayā ki “Mazīd thoṛī der ārām karo, kyoṅki pahle tumhāre hamḳhidmat bhāiyoṅ meṅ se utnoṅ ko shahīd ho jānā hai jitnoṅ ke lie yih muqarrar hai.”
12 Lele ne chhaṭī muhr kholī to maiṅ ne ek shadīd zalzalā dekhā. Sūraj bakrī ke bāloṅ se bane ṭāṭ kī mānind kālā ho gayā, pūrā chāṅd ḳhūn jaisā nazar āne lagā 13 aur āsmān ke sitāre zamīn par yoṅ gir gae jis tarah anjīr ke daraḳht par lage āḳhirī anjīr tez hawā ke jhoṅkoṅ se gir jāte haiṅ. 14 Āsmān tūmār kī tarah jab use lapeṭ kar band kiyā jātā hai pīchhe haṭ gayā. Aur har pahāṛ aur jazīrā apnī apnī jagah se khisak gayā. 15 Phir zamīn ke bādshāh, shahzāde, jarnail, amīr, asar-o-rasūḳh wāle, ġhulām aur āzād sab ke sab ġhāroṅ meṅ aur pahāṛī chaṭānoṅ ke darmiyān chhup gae. 16 Unhoṅ ne chillā kar pahāṛoṅ aur chaṭānoṅ se minnat kī, “Ham par gir kar hameṅ taḳht par baiṭhe hue ke chehre aur Lele ke ġhazab se chhupā lo. 17 Kyoṅki un ke ġhazab kā azīm din ā gayā hai, aur kaun qāym rah saktā hai?”