5
Ḳhudāwand kī Āmad ke lie Taiyār Rahnā
1 Bhāiyo, is kī zarūrat nahīṅ ki ham āp ko likheṅ ki yih sab kuchh kab aur kis mauqe par hogā. 2 Kyoṅki āp ḳhud ḳhūb jānte haiṅ ki Ḳhudāwand kā din yoṅ āegā jis tarah chor rāt ke waqt ghar meṅ ghus ātā hai. 3 Jab log kaheṅge, “Ab amn-o-amān hai,” to halākat achānak hī un par ān paṛegī. Wuh is tarah musībat meṅ paṛ jāeṅge jis tarah wuh aurat jis kā bachchā paidā ho rahā hai. Wuh hargiz nahīṅ bach sakeṅge. 4 Lekin āp bhāiyo tārīkī kī girift meṅ nahīṅ haiṅ, is lie yih din chor kī tarah āp par ġhālib nahīṅ ānā chāhie. 5 Kyoṅki āp sab raushnī aur din ke farzand haiṅ. Hamārā rāt yā tārīkī se koī wāstā nahīṅ. 6 Ġharz āeṅ, ham dūsroṅ kī mānind na hoṅ jo soe hue haiṅ balki jāgte raheṅ, hoshmand raheṅ. 7 Kyoṅki rāt ke waqt hī log so jāte haiṅ, rāt ke waqt hī log nashe meṅ dhut ho jāte haiṅ. 8 Lekin chūṅki ham din ke haiṅ is lie āeṅ ham hosh meṅ raheṅ. Lāzim hai ki ham īmān aur muhabbat ko zirābaktar ke taur par aur najāt kī ummīd ko ḳhod ke taur par pahan leṅ. 9 Kyoṅki Allāh ne hameṅ is lie nahīṅ chunā ki ham par apnā ġhazab nāzil kare balki is lie ki ham apne Ḳhudāwand Īsā Masīh ke wasīle se najāt pāeṅ. 10 Us ne hamārī ḳhātir apnī jān de dī tāki ham us ke sāth jieṅ, ḳhāh ham us kī āmad ke din murdā hoṅ yā zindā. 11 Is lie ek dūsre kī hauslā-afzāī aur tāmīr karte raheṅ, jaisā ki āp kar bhī rahe haiṅ.
Āḳhirī Hidāyāt aur Salām
12 Bhāiyo, hamārī darḳhāst hai ki āp un kī qadar kareṅ jo āp ke darmiyān saḳht mehnat karke Ḳhudāwand meṅ āp kī rāhnumāī aur hidāyat karte haiṅ. 13 Un kī ḳhidmat ko sāmne rakh kar pyār se un kī baṛī izzat kareṅ. Aur ek dūsre ke sāth mel-milāp se zindagī guzāreṅ.
14 Bhāiyo, ham is par zor denā chāhte haiṅ ki unheṅ samjhāeṅ jo beqāydā zindagī guzārte haiṅ, unheṅ tasallī deṅ jo jaldī se māyūs ho jāte haiṅ, kamzoroṅ kā ḳhayāl rakheṅ aur sab ko sabar se bardāsht kareṅ. 15 Is par dhyān deṅ ki koī kisī se burāī ke badle burāī na kare balki āp har waqt ek dūsre aur tamām logoṅ ke sāth nek kām karne meṅ lage raheṅ.
16 Har waqt ḳhush raheṅ, 17 bilānāġhā duā kareṅ, 18 aur har hālat meṅ Ḳhudā kā shukr kareṅ. Kyoṅki jab āp Masīh meṅ haiṅ to Allāh yihī kuchh āp se chāhtā hai.
19 Rūhul-quds ko mat bujhāeṅ. 20 Nabuwwatoṅ kī tahqīr na kareṅ. 21 Sab kuchh parakh kar wuh thāme rakheṅ jo achchhā hai, 22 aur har qism kī burāī se bāz raheṅ.
23 Allāh ḳhud jo salāmatī kā Ḳhudā hai āp ko pūre taur par maḳhsūs-o-muqaddas kare. Wuh kare ki āp pūre taur par rūh, jān aur badan samet us waqt tak mahfūz aur be'ilzām raheṅ jab tak hamārā Ḳhudāwand Īsā Masīh wāpas nahīṅ ā jātā. 24 Jo āp ko bulātā hai wuh wafādār hai aur wuh aisā karegā bhī.
25 Bhāiyo, hamāre lie duā kareṅ.
26 Tamām bhāiyoṅ ko hamārī taraf se bosā denā.
27 Ḳhudāwand ke huzūr maiṅ āp ko tākīd kartā hūṅ ki yih ḳhat tamām bhāiyoṅ ke sāmne paṛhā jāe.
28 Hamāre Ḳhudāwand Īsā Masīh kā fazl āp ke sāth hotā rahe.