2 Thissalunīkiyoṅ
1
1 Yih ḳhat Paulus, Silwānus aur Tīmuthiyus kī taraf se hai.
Ham Thissalunīkiyoṅ kī jamāt ko likh rahe haiṅ, unheṅ jo Allāh hamāre Bāp aur Ḳhudāwand Īsā Masīh par īmān lāe haiṅ.
2 Ḳhudā hamārā Bāp aur Ḳhudāwand Īsā Masīh āp ko fazl aur salāmatī baḳhsheṅ.
Masīh kī Āmad par Adālat
3 Bhāiyo, wājib hai ki ham har waqt āp ke lie Ḳhudā kā shukr kareṅ. Hāṅ, yih mauzūṅ hai, kyoṅki āp kā īmān hairatangez taraqqī kar rahā hai aur āp sab kī ek dūsre se muhabbat baṛh rahī hai. 4 Yihī wajah hai ki ham Allāh kī dīgar jamātoṅ meṅ āp par faḳhr karte haiṅ. Hāṅ, ham faḳhr karte haiṅ ki āp in dinoṅ meṅ kitnī sābitqadmī aur īmān dikhā rahe haiṅ hālāṅki āp bahut īzārasāniyāṅ aur musībateṅ bardāsht kar rahe haiṅ.
5 Yih sab kuchh sābit kartā hai ki Allāh kī adālat rāst hai, aur natīje meṅ āp us kī bādshāhī ke lāyq ṭhahreṅge, jis ke lie āp ab dukh uṭhā rahe haiṅ. 6 Allāh wuhī kuchh karegā jo rāst hai. Wuh unheṅ musībatoṅ meṅ ḍāl degā jo āp ko musībat meṅ ḍāl rahe haiṅ, 7 aur āp ko jo musībat meṅ haiṅ hamāre samet ārām degā. Wuh yih us waqt karegā jab Ḳhudāwand Īsā apne qawī farishtoṅ ke sāth āsmān par se ā kar zāhir hogā 8 aur bhaṛaktī huī āg meṅ unheṅ sazā degā jo na Allāh ko jānte haiṅ, na hamāre Ḳhudāwand Īsā kī ḳhushḳhabrī ke tābe haiṅ. 9 Aise log abadī halākat kī sazā pāeṅge, wuh hameshā tak Ḳhudāwand kī huzūrī aur us kī jalālī qudrat se dūr ho jāeṅge. 10 Lekin us din Ḳhudāwand is lie bhī āegā ki apne muqaddasīn meṅ jalāl pāe aur tamām īmāndāroṅ meṅ hairat kā bāis ho. Āp bhī un meṅ shāmil hoṅge, kyoṅki āp us par īmān lāe jis kī gawāhī ham ne āp ko dī.
11 Yih pesh-e-nazar rakh kar ham lagātār āp ke lie duā karte haiṅ. Hamārā Ḳhudā āp ko us bulāwe ke lāyq ṭhahrāe jis ke lie āp ko bulāyā gayā hai. Aur wuh apnī qudrat se āp kī nekī karne kī har ḳhāhish aur āp ke īmān kā har kām takmīl tak pahuṅchāe. 12 Kyoṅki is tarah hī hamāre Ḳhudāwand Īsā kā nām āp meṅ jalāl pāegā aur āp bhī us meṅ jalāl pāeṅge, us fazl ke mutābiq jo hamāre Ḳhudā aur Ḳhudāwand Īsā Masīh ne āp ko diyā hai.