1 Tīmuthiyus
1
1 Yih ḳhat Paulus kī taraf se hai jo hamāre Najātdahindā Allāh aur hamārī ummīd Masīh Īsā ke hukm par Masīh Īsā kā rasūl hai.
2 Maiṅ Tīmuthiyus ko likh rahā hūṅ jo īmān meṅ merā sachchā beṭā hai.
Ḳhudā Bāp aur hamārā Ḳhudāwand Masīh Īsā āp ko fazl, rahm aur salāmatī atā kareṅ.
Ġhalat Tālīm se Ḳhabardār
3 Maiṅ ne āp ko Makiduniyā jāte waqt nasīhat kī thī ki Ifisus meṅ raheṅ tāki āp wahāṅ ke kuchh logoṅ ko ġhalat tālīm dene se rokeṅ. 4 Unheṅ farzī kahāniyoṅ aur ḳhatm na hone wāle nasabnāme ke pīchhe na lagne deṅ. In se mahz bahs-mubāhasā paidā hotā hai aur Allāh kā najātbaḳhsh mansūbā pūrā nahīṅ hotā. Kyoṅki yih mansūbā sirf īmān se takmīl tak pahuṅchtā hai. 5 Merī is hidāyat kā maqsad yih hai ki muhabbat ubhar āe, aisī muhabbat jo ḳhālis dil, sāf zamīr aur Beriyā īmān se paidā hotī hai. 6 Kuchh log in chīzoṅ se bhaṭak kar bemānī bātoṅ meṅ gum ho gae haiṅ. 7 Yih sharīat ke ustād bananā chāhte haiṅ, lekin unheṅ un bātoṅ kī samajh nahīṅ ātī jo wuh kar rahe haiṅ aur jin par wuh itne etamād se isrār kar rahe haiṅ.
8 Lekin ham to jānte haiṅ ki sharīat achchhī hai basharteki ise sahīh taur par istemāl kiyā jāe. 9 Aur yād rahe ki yih rāstbāzoṅ ke lie nahīṅ dī gaī. Kyoṅki yih un ke lie hai jo baġhair sharīat ke aur sarkash zindagī guzārte haiṅ, jo bedīn aur gunāhgār haiṅ, jo muqaddas aur ruhānī bātoṅ se ḳhālī haiṅ, jo apne māṅ-bāp ke qātil haiṅ, jo ḳhūnī, 10 zinākār, hamjinsparast aur ġhulāmoṅ ke tājir haiṅ, jo jhūṭ bolte, jhūṭī qasam khāte aur mazīd bahut kuchh karte haiṅ jo sehhatbaḳhsh tālīm ke ḳhilāf hai. 11 Aur sehhatbaḳhsh tālīm kyā hai? Wuh jo mubārak Ḳhudā kī us jalālī ḳhushḳhabrī meṅ pāī jātī hai jo mere sapurd kī gaī hai.
Allāh ke Rahm ke lie Shukrguzārī
12 Maiṅ apne Ḳhudāwand Masīh Īsā kā shukr kartā hūṅ jis ne merī taqwiyat kī hai. Maiṅ us kā shukr kartā hūṅ ki us ne mujhe wafādār samajh kar ḳhidmat ke lie muqarrar kiyā. 13 Go maiṅ pahle kufr bakne wālā aur gustāḳh ādmī thā, jo logoṅ ko īzā detā thā, lekin Allāh ne mujh par rahm kiyā. Kyoṅki us waqt maiṅ īmān nahīṅ lāyā thā aur is lie nahīṅ jāntā thā ki kyā kar rahā hūṅ. 14 Hāṅ, hamāre Ḳhudāwand ne mujh par apnā fazl kasrat se unḍel diyā aur mujhe wuh īmān aur muhabbat atā kī jo hameṅ Masīh Īsā meṅ hote hue miltī hai. 15 Ham is qābil-e-qabūl bāt par pūrā bharosā rakh sakte haiṅ ki Masīh Īsā gunāhgāroṅ ko najāt dene ke lie is duniyā meṅ āyā. Un meṅ se maiṅ sab se baṛā gunāhgār hūṅ, 16 lekin yihī wajah hai ki Allāh ne mujh par rahm kiyā. Kyoṅki wuh chāhtā thā ki Masīh Īsā mujh meṅ jo awwal gunāhgār hūṅ apnā wasī sabar zāhir kare aur maiṅ yoṅ un ke lie namūnā ban jāūṅ jo us par īmān lā kar abadī zindagī pāne wāle haiṅ. 17 Hāṅ, hamāre azlī-o-abadī Shahanshāh kī hameshā tak izzat-o-jalāl ho! Wuhī lāfānī, andekhā aur wāhid Ḳhudā hai. Āmīn.
18 Tīmuthiyus mere beṭe, maiṅ āp ko yih hidāyat un peshgoiyoṅ ke mutābiq detā hūṅ jo pahle āp ke bāre meṅ kī gaī thīṅ. Kyoṅki maiṅ chāhtā hūṅ ki āp in kī pairawī karke achchhī tarah laṛ sakeṅ 19 aur īmān aur sāf zamīr ke sāth zindagī guzār sakeṅ. Kyoṅki bāz ne yih bāteṅ radd kar dī haiṅ aur natīje meṅ un ke īmān kā beṛā ġharq ho gayā. 20 Huminyus aur Sikandar bhī in meṅ shāmil haiṅ. Ab maiṅ ne inheṅ Iblīs ke hawāle kar diyā hai tāki wuh kufr bakne se bāz ānā sīkheṅ.