3
Hamāre lie Duā Karnā
1 Bhāiyo, ek āḳhirī bāt, hamāre lie duā kareṅ ki Ḳhudāwand kā paiġhām jaldī se phail jāe aur izzat pāe, bilkul usī tarah jis tarah āp ke darmiyān huā. 2 Is ke lie bhī duā kareṅ ki Allāh hameṅ ġhalat aur sharīr logoṅ se bachāe rakhe, kyoṅki sab to īmān nahīṅ rakhte.
3 Lekin Ḳhudāwand wafādār hai, aur wuhī āp ko mazbūt karke Iblīs se mahfūz rakhegā. 4 Ham Ḳhudāwand meṅ āp par etamād rakhte haiṅ ki āp wuh kuchh kar rahe haiṅ balki karte raheṅge jo ham ne āp ko karne ko kahā thā.
5 Ḳhudāwand āp ke diloṅ ko Allāh kī muhabbat aur Masīh kī sābitqadmī kī taraf māyl kartā rahe.
Kām Karne kā Farz
6 Bhāiyo, apne Ḳhudāwand Īsā Masīh ke nām meṅ ham āp ko hukm dete haiṅ ki har us bhāī se kinārā kareṅ jo beqāydā chaltā aur jo ham se pāī huī riwāyat ke mutābiq zindagī nahīṅ guzārtā. 7 Āp ḳhud jānte haiṅ ki āp ko kis tarah hamāre namūne par chalnā chāhie. Jab ham āp ke pās the to hamārī zindagī meṅ betartībī nahīṅ pāī jātī thī. 8 Ham ne kisī kā khānā bhī paise die baġhair na khāyā, balki din rāt saḳht mehnat-mashaqqat karte rahe tāki āp meṅ se kisī ke lie bojh na baneṅ. 9 Bāt yih nahīṅ ki hameṅ āp se muāwazā milne kā haq nahīṅ thā. Nahīṅ, ham ne aisā kiyā tāki ham āp ke lie achchhā namūnā baneṅ aur āp is namūne par chaleṅ. 10 Jab ham abhī āp ke pās the to ham ne āp ko hukm diyā, “Jo kām nahīṅ karnā chāhtā wuh khānā bhī na khāe.”
11 Ab hameṅ yih ḳhabar milī hai ki āp meṅ se bāz beqāydā zindagī guzārte haiṅ. Wuh kām nahīṅ karte balki dūsroṅ ke kāmoṅ meṅ ḳhāhmaḳhāh daḳhl dete haiṅ. 12 Ḳhudāwand Īsā Masīh ke nām meṅ ham aise logoṅ ko hukm dete aur samjhāte haiṅ ki ārām se kām karke apnī rozī kamāeṅ.
13 Bhāiyo, āp bhalāī karne se kabhī himmat na hāreṅ. 14 Agar koī is ḳhat meṅ darj hamārī hidāyat par amal na kare to us se tālluq na rakhnā tāki use sharm āe. 15 Lekin use dushman mat samajhnā balki use bhāī jān kar samjhānā.
Āḳhirī Alfāz
16 Ḳhudāwand ḳhud jo salāmatī kā sarchashmā hai āp ko har waqt aur har tarah se salāmatī baḳhshe. Ḳhudāwand āp sab ke sāth ho.
17 Maiṅ, Paulus apne hāth se yih likh rahā hūṅ. Merī taraf se salām. Maiṅ isī tarīqe se apne har ḳhat par dastḳhat kartā aur isī tarah likhtā hūṅ.
18 Hamāre Ḳhudāwand Īsā Masīh kā fazl āp sab ke sāth rahe.