6
Yarūshalam Dushmanoṅ se Ghirā Huā Hai
1 Ai Binyamīn kī aulād, Yarūshalam se nikal kar kahīṅ aur panāh lo! Taqua meṅ narsingā phūṅko! Bait-karm meṅ bhāgne kā aisā ishārā khaṛā kar jo sab ko nazar āe! Kyoṅki shimāl se āfat nāzil ho rahī hai, sab kuchh dhaṛām se gir jāegā.
2 Siyyūn Beṭī kitnī manmohan aur nāzuk hai. Lekin maiṅ use halāk kar dūṅgā, 3 aur charwāhe apne rewaṛoṅ ko le kar us par ṭūṭ paṛeṅge. Wuh apne ḳhaimoṅ ko us ke irdgird lagā leṅge, aur har ek kā rewaṛ char char kar apnā hissā khā jāegā.
4 Wuh kaheṅge, ‘Āo, ham us se laṛne ke lie taiyār ho jāeṅ. Āo, ham dopahar ke waqt hamlā kareṅ! Lekin afsos, din ḍhal rahā hai, aur shām ke sāye lambe hote jā rahe haiṅ. 5 Koī bāt nahīṅ, rāt ke waqt hī ham us par chhāpā māreṅge, usī waqt ham us ke burjoṅ ko girā deṅge.’ ”
6 Rabbul-afwāj farmātā hai, “Daraḳhtoṅ ko kāṭo, miṭṭī ke ḍheroṅ se Yarūshalam kā gherāo karo! Shahr ko sazā denī hai, kyoṅki us meṅ zulm hī zulm pāyā jātā hai. 7 Jis tarah kueṅ se tāzā pānī nikaltā rahtā hai usī tarah Yarūshalam kī badī bhī tāzā tāzā us se nikaltī rahtī hai. Zulm-o-tashaddud kī āwāzeṅ us meṅ gūṅjtī rahtī haiṅ, us kī bīmār hālat aur zaḳhm lagātār mere sāmne rahte haiṅ.
8 Ai Yarūshalam, merī tarbiyat ko qabūl kar, warnā maiṅ tang ā kar tujh se apnā muṅh pher lūṅgā, maiṅ tujhe tabāh kar dūṅgā aur tū ġhairābād ho jāegī.”
9 Rabbul-afwāj farmātā hai, “Jis tarah angūr chunane ke bād ġharīb log tamām bachā-khuchā phal toṛ lete haiṅ usī tarah Isrāīl kā bachā-khuchā hissā bhī ehtiyāt se toṛ liyā jāegā. Chunane wāle kī tarah dubārā apne hāth ko angūr kī shāḳhoṅ par se guzarne de.”
10 Ai Rab, maiṅ kis se bāt karūṅ, kis ko āgāh karūṅ? Kaun sunegā? Dekh, un ke kān nāmaḳhtūn haiṅ, is lie wuh sun hī nahīṅ sakte. Rab kā kalām unheṅ mazhakāḳhez lagtā hai, wuh unheṅ nāpasand hai. 11 Is lie maiṅ Rab ke ġhazab se bharā huā hūṅ, maiṅ use bardāsht karte karte itnā thak gayā hūṅ ki use mazīd nahīṅ rok saktā.
“Use galiyoṅ meṅ khelne wāle bachchoṅ aur jamāshudā naujawānoṅ par nāzil kar, kyoṅki sab ko giriftār kiyā jāegā, ḳhāh ādmī ho yā aurat, buzurg ho yā umrrasīdā. 12 Un ke gharoṅ ko khetoṅ aur bīwiyoṅ samet dūsroṅ ke hawāle kiyā jāegā, kyoṅki maiṅ apnā hāth mulk ke bāshindoṅ ke ḳhilāf baṛhāūṅgā.” Yih Rab kā farmān hai. 13 “Chhoṭe se le kar baṛe tak sab ġhalat nafā ke pīchhe paṛe haiṅ, nabī se le kar imām tak sab dhokebāz haiṅ. 14 Wuh merī qaum ke zaḳhm par ārizī marham-paṭṭī lagā kar kahte haiṅ, ab sab kuchh ṭhīk ho gayā hai, ab salāmatī kā daur ā gayā hai hālāṅki salāmatī hai hī nahīṅ. 15 Aisā ghinaunā rawaiyā un ke lie sharm kā bāis honā chāhie, lekin wuh sharm nahīṅ karte balki sarāsar besharm haiṅ. Is lie jab sab kuchh gir jāegā to yih log bhī gir jāeṅge. Jab maiṅ in par sazā nāzil karūṅga to yih ṭhokar khā kar ḳhāk meṅ mil jāeṅge.” Yih Rab kā farmān hai.
Sahīh Rāste kī Talāsh meṅ Raho
16 Rab farmātā hai, “Rāstoṅ ke pās khaṛe ho kar un kā muāynā karo! Qadīm rāhoṅ kī taftīsh karke patā karo ki un meṅ se kaun-sī achchhī hai, phir us par chalo. Tab tumhārī jān ko sukūn milegā. Lekin afsos, tum inkār karke kahte ho, nahīṅ, ham yih rāh iḳhtiyār nahīṅ kareṅge! 17 Dekho, maiṅ ne tum par pahredār muqarrar kie aur kahā, ‘Jab narsingā phūṅkā jāegā to dhyān do!’ Lekin tum ne inkār kiyā, ‘Nahīṅ, ham tawajjuh nahīṅ deṅge.’
18 Chunāṅche ai qaumo, suno! Ai jamāt, jān le ki un ke sāth kyā kuchh kiyā jāegā. 19 Ai zamīn, dhyān de ki maiṅ is qaum par kyā āfat nāzil karūṅga. Aur yih un ke apne mansūboṅ kā phal hogā, kyoṅki unhoṅ ne merī bātoṅ par tawajjuh na dī balki merī sharīat ko radd kar diyā. 20 Mujhe Sabā ke baḳhūr yā dūr-darāz mamālik ke qīmtī masāloṅ kī kyā parwā! Tumhārī bhasm hone wālī qurbāniyāṅ mujhe pasand nahīṅ, tumhārī zabah kī qurbāniyoṅ se maiṅ lutfandoz nahīṅ hotā.” 21 Rab farmātā hai, “Maiṅ is qaum ke rāste meṅ aisī rukāwaṭeṅ khaṛī kar dūṅgā jin se bāp aur beṭā ṭhokar khā kar gir jāeṅge. Paṛosī aur dost mil kar halāk ho jāeṅge.”
Shimāl se Dushman kā Hamlā
22 Rab farmātā hai, “Shimālī mulk se fauj ā rahī hai, duniyā kī intahā se ek azīm qaum ko jagāyā jā rahā hai. 23 Us ke zālim aur berahm faujī kamān aur shamshīr se lais haiṅ. Suno un kā shor! Mutalātim samundar kī-sī āwāz sunāī de rahī hai. Ai Siyyūn Beṭī, wuh ghoṛoṅ par saf-ārā ho kar tujh par hamlā karne ā rahe haiṅ.”
24 Un ke bāre meṅ ittalā pā kar hamāre hāth himmat hār gae haiṅ. Ham par ḳhauf tārī ho gayā hai, hameṅ dard-e-zah meṅ mubtalā aurat kā-sā dard ho rahā hai. 25 Shahr se nikal kar khet meṅ yā saṛak par mat chalnā, kyoṅki wahāṅ dushman talwār thāme khaṛā hai, chāroṅ taraf dahshat hī dahshat phail gaī hai.
26 Ai merī qaum, ṭāṭ kā libās pahan kar rākh meṅ loṭ-poṭ ho jā. Yoṅ mātam kar jis tarah iklautā beṭā mar gayā ho. Zor se wāwailā kar, kyoṅki achānak hī halākū ham par chhāpā māregā.
Yarmiyāh Qaum ko Āzmātā Hai
27 Rab mujh se hamkalām huā, “Maiṅ ne tujhe dhātoṅ ko jāṅchne kī zimmedārī dī hai, aur merī qaum wuh dhāt hai jis kā chāl-chalan tujhe mālūm karke parakhnā hai.” 28 Ai Rab, yih tamām log badtarīn qism ke sarkash haiṅ. Tohmat lagānā in kī rozī ban gayā hai. Yih pītal aur lohā hī haiṅ, sab ke sab tabāhī kā bāis haiṅ. 29 Dhaunknī ḳhūb hawā de rahī hai tāki sīsā āg meṅ pighal kar chāṅdī se alag ho jāe. Lekin afsos, sārī mehnat rāygāṅ hai. Sīsā yānī bedīnoṅ ko alag nahīṅ kiyā jā saktā, ḳhālis chāṅdī bāqī nahīṅ rahtī. 30 Chunāṅche unheṅ ‘Raddī Chāṅdī’ qarār diyā jātā hai, kyoṅki Rab ne unheṅ radd kar diyā hai.