7
Rab ke Ghar ke bāre meṅ Paiġhām
1 Rab Yarmiyāh se hamkalām huā, 2 “Rab ke ghar ke sahan ke darwāze par khaṛā ho kar elān kar ki ai Yahūdāh ke tamām bāshindo, Rab kā kalām suno! Jitne bhī Rab kī parastish karne ke lie in darwāzoṅ meṅ dāḳhil hote haiṅ wuh sab tawajjuh deṅ! 3 Rabbul-afwāj jo Isrāīl kā Ḳhudā hai farmātā hai ki apnī zindagī aur chāl-chalan durust karo to maiṅ āindā bhī tumheṅ is maqām par basne dūṅgā. 4 Un ke farebdeh alfāz par etamād mat karo jo kahte haiṅ, ‘Yahāṅ ham mahfūz haiṅ kyoṅki yih Rab kā ghar, Rab kā ghar, Rab kā ghar hai.’ 5 Suno, shart to yih hai ki tum apnī zindagī aur chāl-chalan durust karo aur ek dūsre ke sāth insāf kā sulūk karo, 6 ki tum pardesī, yatīm aur bewā par zulm na karo, is jagah bequsūr kā ḳhūn na bahāo aur ajnabī mābūdoṅ ke pīchhe lag kar apne āp ko nuqsān na pahuṅchāo. 7 Agar tum aisā karo to maiṅ āindā bhī tumheṅ is jagah basne dūṅgā, us mulk meṅ jo maiṅ ne tumhāre bāpdādā ko hameshā ke lie baḳhsh diyā thā.
8 Lekin afsos, tum farebdeh alfāz par bharosā rakhte ho jo fuzūl hī haiṅ. 9 Tum chor, qātil aur zinākār ho. Nīz tum jhūṭī qasam khāte, Bāl Dewatā ke huzūr baḳhūr jalāte aur ajnabī mābūdoṅ ke pīchhe lag jāte ho, aise dewatāoṅ ke pīchhe jin se tum pahle wāqif nahīṅ the. 10 Lekin sāth sāth tum yahāṅ mere huzūr bhī āte ho. Jis makān par mere hī nām kā ṭhappā lagā hai usī meṅ tum khaṛe ho kar kahte ho, ‘Ham mahfūz haiṅ.’ Tum Rab ke ghar meṅ ibādat karne ke sāth sāth kis tarah yih tamām ghinaunī harkateṅ jārī rakh sakte ho?”
11 Rab farmātā hai, “Kyā tumhāre nazdīk yih makān jis par mere hī nām kā ṭhappā lagā hai ḍākuoṅ kā aḍḍā ban gayā hai? Ḳhabardār! Yih sab kuchh mujhe bhī nazar ātā hai. 12 Sailā Shahr kā chakkar lagāo jahāṅ maiṅ ne pahle apnā nām basāyā thā. Mālūm karo ki maiṅ ne apnī qaum Isrāīl kī bedīnī ke sabab se us shahr ke sāth kyā kiyā.” 13 Rab farmātā hai, “Tum yih sharīr harkateṅ karte rahe, aur maiṅ bār bār tum se hamkalām hotā rahā, lekin tum ne merī na sunī. Maiṅ tumheṅ bulātā rahā, lekin tum jawāb dene ke lie taiyār na hue. 14 Is lie ab maiṅ is ghar ke sāth wuh kuchh karūṅga jo maiṅ ne Sailā ke sāth kiyā thā, go is par mere hī nām kā ṭhappā lagā hai, yih wuh makān hai jis par tum etamād rakhte ho aur jise maiṅ ne tumheṅ aur tumhāre bāpdādā ko atā kiyā thā. 15 Maiṅ tumheṅ apne huzūr se nikāl dūṅgā, bilkul usī tarah jis tarah maiṅ ne tumhāre tamām bhāiyoṅ yānī Isrāīl * Lafzī tarjumā: Ifrāīm. kī aulād ko nikāl diyā thā.
Logoṅ kī Nāfarmānī
16 Ai Yarmiyāh, is qaum ke lie duā mat kar. Is ke lie na iltijā kar, na minnat. In logoṅ kī ḳhātir mujhe tang na kar, kyoṅki maiṅ terī nahīṅ sunūṅgā. 17 Kyā tujhe wuh kuchh nazar nahīṅ ā rahā jo yih Yahūdāh ke shahroṅ aur Yarūshalam kī galiyoṅ meṅ kar rahe haiṅ? 18 Aur sab is meṅ mulawwas haiṅ. Bachche lakaṛī chun kar ḍher banāte haiṅ, phir bāp use āg lagāte haiṅ jabki aurateṅ āṭā gūṅdh gūṅdh kar āg par āsmān kī malikā nāmī dewī ke lie ṭikkiyāṅ pakātī haiṅ. Mujhe tang karne ke lie wuh ajnabī mābūdoṅ ko mai kī nazareṅ bhī pesh karte haiṅ.
19 Lekin haqīqat meṅ yih mujhe utnā tang nahīṅ kar rahe jitnā apne āp ko. Aisī harkatoṅ se wuh apnī hī ruswāī kar rahe haiṅ.” 20 Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai, “Merā qahr aur ġhazab is maqām par, insān-o-haiwān par, khule maidān ke daraḳhtoṅ par aur zamīn kī paidāwār par nāzil hogā. Sab kuchh nazar-e-ātish ho jāegā, aur koī use bujhā nahīṅ sakegā.”
21 Rabbul-afwāj jo Isrāīl kā Ḳhudā hai farmātā hai, “Bhasm hone wālī qurbāniyoṅ ko mujhe pesh na karo, balki un kā gosht dīgar qurbāniyoṅ samet ḳhud khā lo. 22 Kyoṅki jis din maiṅ tumhāre bāpdādā ko Misr se nikāl lāyā us din maiṅ ne unheṅ bhasm hone wālī qurbāniyāṅ aur dīgar qurbāniyāṅ chaṛhāne kā hukm na diyā. 23 Maiṅ ne unheṅ sirf yih hukm diyā ki merī suno! Tab hī maiṅ tumhārā Ḳhudā hūṅgā aur tum merī qaum hoge. Pūre taur par us rāh par chalte raho jo maiṅ tumheṅ dikhātā hūṅ. Tab hī tumhārī ḳhair hogī. 24 Lekin unhoṅ ne merī na sunī, na dhyān diyā balki apne sharīr dil kī zid ke mutābiq zindagī guzārne lage. Unhoṅ ne merī taraf rujū na kiyā balki apnā muṅh mujh se pher liyā. 25 Jab se tumhāre bāpdādā Misr se nikal āe āj tak maiṅ roz baroz aur bār bār apne ḳhādimoṅ yānī nabiyoṅ ko tumhāre pās bhejtā rahā. 26 To bhī unhoṅ ne na merī sunī, na tawajjuh dī. Wuh bazid rahe balki apne bāpdādā kī nisbat zyādā bure the.
27 Ai Yarmiyāh, tū unheṅ yih tamām bāteṅ batāegā, lekin wuh terī nahīṅ suneṅge. Tū unheṅ bulāegā, lekin wuh jawāb nahīṅ deṅge. 28 Tab tū unheṅ batāegā, ‘Is qaum ne na Rab apne Ḳhudā kī āwāz sunī, na us kī tarbiyat qabūl kī. Diyānatdārī ḳhatm ho kar un ke muṅh se miṭ gaī hai.’
Wādī-e-Bin-Hinnūm meṅ Qābil-e-Ghin Rusūm
29 Apne bāloṅ ko kāṭ kar phaiṅk de! Jā, banjar ṭīloṅ par mātam kā gīt gā, kyoṅki yih nasl Rab ke ġhazab kā nishānā ban gaī hai, aur us ne ise radd karke chhoṛ diyā hai.”
30 Kyoṅki Rab farmātā hai, “Jo kuchh Yahūdāh ke bāshindoṅ ne kiyā wuh mujhe bahut burā lagtā hai. Unhoṅ ne apne ghinaune butoṅ ko mere nām ke lie maḳhsūs ghar meṅ rakh kar us kī behurmatī kī hai. 31 Sāth sāth unhoṅ ne Wādī-e-Bin-hinnūm meṅ wāqe Tūfat kī ūṅchī jagheṅ tāmīr kīṅ tāki apne beṭe-beṭiyoṅ ko jalā kar qurbān kareṅ. Maiṅ ne kabhī bhī aisī rasm adā karne kā hukm nahīṅ diyā balki is kā ḳhayāl mere zahan meṅ āyā tak nahīṅ.
32 Chunāṅche Rab kā kalām suno! Wuh din āne wāle haiṅ jab yih maqām ‘Tūfat’ yā ‘Wādī-e-Bin-hinnūm’ nahīṅ kahlāegā balki ‘Qatl-o-Ġhārat kī Wādī.’ Us waqt log Tūfat meṅ itnī lāsheṅ dafnāeṅge ki āḳhirkār ḳhālī jagah nahīṅ rahegī. 33 Tab is qaum kī lāsheṅ parindoṅ aur janglī jānwaroṅ kī ḳhurāk ban jāeṅgī, aur koī nahīṅ hogā jo unheṅ bhagā de. 34 Maiṅ Yahūdāh ke shahroṅ aur Yarūshalam kī galiyoṅ meṅ ḳhushī-o-shādmānī kī āwāzeṅ ḳhatm kar dūṅgā, dūlhā dulhan kī āwāzeṅ band ho jāeṅgī. Kyoṅki mulk wīrān-o-sunsān ho jāegā.”