Yashua
1
Rab Yashua ko Rāhnumāī kī Zimmedārī Sauṅptā Hai
1 Rab ke ḳhādim Mūsā kī maut ke bād Rab Mūsā ke madadgār Yashua bin Nūn se hamkalām huā. Us ne kahā, 2 “Merā ḳhādim Mūsā faut ho gayā hai. Ab uṭh, is pūrī qaum ke sāth Dariyā-e-Yardan ko pār karke us mulk meṅ dāḳhil ho jā jo maiṅ Isrāīliyoṅ ko dene ko hūṅ. 3 Jis zamīn par bhī tū apnā pāṅw rakhegā use maiṅ Mūsā ke sāth kie gae wāde ke mutābiq tujhe dūṅgā. 4 Tumhāre mulk kī sarhaddeṅ yih hoṅgī: junūb meṅ Najab kā registān, shimāl meṅ Lubnān, mashriq meṅ Dariyā-e-Furāt aur maġhrib meṅ Bahīrā-e-Rūm. Hittī qaum kā pūrā ilāqā is meṅ shāmil hogā. 5 Tere jīte-jī koī terā sāmnā nahīṅ kar sakegā. Jis tarah maiṅ Mūsā ke sāth thā, usī tarah tere sāth bhī hūṅgā. Maiṅ tujhe kabhī nahīṅ chhoṛūṅgā, na tujhe tark karūṅga.
6 Mazbūt aur diler ho, kyoṅki tū hī is qaum ko mīrās meṅ wuh mulk degā jis kā maiṅ ne un ke bāpdādā se qasam khā kar wādā kiyā thā. 7 Lekin ḳhabardār, mazbūt aur bahut diler ho. Ehtiyāt se us pūrī sharīat par amal kar jo mere ḳhādim Mūsā ne tujhe dī hai. Us se na dāīṅ aur na bāīṅ taraf haṭnā. Phir jahāṅ kahīṅ bhī tū jāe kāmyāb hogā. 8 Jo bāteṅ is Sharīat kī Kitāb meṅ likhī haiṅ wuh tere muṅh se na haṭeṅ. Din rāt un par ġhaur kartā rah tāki tū ehtiyāt se is kī har bāt par amal kar sake. Phir tū har kām meṅ kāmyāb aur ḳhushhāl hogā.
9 Maiṅ phir kahtā hūṅ ki mazbūt aur diler ho. Na ghabrā aur na hauslā hār, kyoṅki jahāṅ bhī tū jāegā wahāṅ Rab terā Ḳhudā tere sāth rahegā.”
Mulk meṅ Dāḳhil Hone kī Taiyāriyāṅ
10 Phir Yashua qaum ke nigahbānoṅ se muḳhātib huā, 11 “Ḳhaimāgāh meṅ har jagah jā kar logoṅ ko ittalā deṅ ki safr ke lie khāne kā band-o-bast kar leṅ. Kyoṅki tīn din ke bād āp Dariyā-e-Yardan ko pār karke us mulk par qabzā kareṅge jo Rab āp kā Ḳhudā āp ko wirse meṅ de rahā hai.”
12 Phir Yashua Rūbin, Jad aur Manassī ke ādhe qabīle se muḳhātib huā, 13 “Yih bāt yād rakheṅ jo Rab ke ḳhādim Mūsā ne āp se kahī thī, ‘Rab tumhārā Ḳhudā tum ko Dariyā-e-Yardan ke mashriqī kināre par kā yih ilāqā detā hai tāki tum yahāṅ amn-o-amān ke sāth rah sako.’ 14 Ab jab ham Dariyā-e-Yardan ko pār kar rahe haiṅ to āp ke bāl-bachche aur maweshī yihīṅ rah sakte haiṅ. Lekin lāzim hai ki āp ke tamām jang karne ke qābil mard musallah ho kar apne bhāiyoṅ ke āge āge dariyā ko pār kareṅ. Āp ko us waqt tak apne bhāiyoṅ kī madad karnā hai 15 jab tak Rab unheṅ wuh ārām na de jo āp ko hāsil hai aur wuh us mulk par qabzā na kar leṅ jo Rab āp kā Ḳhudā unheṅ de rahā hai. Is ke bād hī āp ko apne us ilāqe meṅ wāpas jā kar ābād hone kī ijāzat hogī jo Rab ke ḳhādim Mūsā ne āp ko Dariyā-e-Yardan ke mashriqī kināre par diyā thā.”
16 Unhoṅ ne jawāb meṅ Yashua se kahā, “Jo bhī hukm āp ne hameṅ diyā hai wuh ham māneṅge aur jahāṅ bhī hameṅ bhejeṅge wahāṅ jāeṅge. 17 Jis tarah ham Mūsā kī har bāt mānte the usī tarah āp kī bhī har bāt māneṅge. Lekin Rab āp kā Ḳhudā usī tarah āp ke sāth ho jis tarah wuh Mūsā ke sāth thā. 18 Jo bhī āp ke hukm kī ḳhilāfwarzī karke āp kī wuh tamām bāteṅ na māne jo āp farmāeṅge use sazā-e-maut dī jāe. Lekin mazbūt aur diler hoṅ!”