2
Yarīhū Shahr meṅ Isrāīlī Jāsūs
1 Phir Yashua ne chupke se do jāsūsoṅ ko Shittīm se bhej diyā jahāṅ Isrāīlī ḳhaimāgāh thī. Us ne un se kahā, “Jā kar mulk kā jāyzā leṅ, ḳhāskar Yarīhū Shahr kā.” Wuh rawānā hue aur chalte chalte ek kasbī ke ghar pahuṅche jis kā nām Rāhab thā. Wahāṅ wuh rāt ke lie ṭhahar gae. 2 Lekin Yarīhū ke bādshāh ko ittalā milī ki āj shām ko kuchh Isrāīlī mard yahāṅ pahuṅch gae haiṅ jo mulk kī jāsūsī karnā chāhte haiṅ. 3 Yih sun kar bādshāh ne Rāhab ko ḳhabar bhejī, “Un ādmiyoṅ ko nikāl do jo tumhāre pās ā kar ṭhahre hue haiṅ, kyoṅki yih pūre mulk kī jāsūsī karne ke lie āe haiṅ.”
4 Lekin Rāhab ne donoṅ ādmiyoṅ ko chhupā rakhā thā. Us ne kahā, “Jī, yih ādmī mere pās āe to the lekin mujhe mālūm nahīṅ thā ki kahāṅ se āe haiṅ. 5 Jab din ḍhalne lagā aur shahr ke darwāzoṅ ko band karne kā waqt ā gayā to wuh chale gae. Mujhe mālūm nahīṅ ki kis taraf gae. Ab jaldī karke un kā pīchhā kareṅ. Ain mumkin hai ki āp unheṅ pakaṛ leṅ.” 6 Haqīqat meṅ Rāhab ne unheṅ chhat par le jā kar wahāṅ par paṛe san ke ḍanṭhloṅ ke nīche chhupā diyā thā. 7 Rāhab kī bāt sun kar bādshāh ke ādmī wahāṅ se chale gae aur shahr se nikal kar jāsūsoṅ ke tāqqub meṅ us rāste par chalne lage jo Dariyā-e-Yardan ke un kam-gahre maqāmoṅ tak le jātā hai jahāṅ use paidal ubūr kiyā jā saktā thā. Aur jyoṅ hī yih ādmī nikle, shahr kā darwāzā un ke pīchhe band kar diyā gayā.
8 Jāsūsoṅ ke so jāne se pahle Rāhab ne chhat par ā kar 9 un se kahā, “Maiṅ jāntī hūṅ ki Rab ne yih mulk āp ko de diyā hai. Āp ke bāre meṅ sun kar ham par dahshat chhā gaī hai, aur mulk ke tamām bāshinde himmat hār gae haiṅ. 10 Kyoṅki hameṅ ḳhabar milī hai ki āp ke Misr se nikalte waqt Rab ne Bahr-e-Qulzum kā pānī kis tarah āp ke āge ḳhushk kar diyā. Yih bhī hamāre sunane meṅ āyā hai ki āp ne Dariyā-e-Yardan ke mashriq meṅ rahne wāle do bādshāhoṅ Sīhon aur Oj ke sāth kyā kuchh kiyā, ki āp ne unheṅ pūrī tarah tabāh kar diyā. 11 Yih sun kar hamārī himmat ṭūṭ gaī. Āp ke sāmne ham sab hauslā hār gae haiṅ, kyoṅki Rab āp kā Ḳhudā āsmān-o-zamīn kā Ḳhudā hai. 12 Ab Rab kī qasam khā kar mujh se wādā kareṅ ki āp usī tarah mere ḳhāndān par mehrbānī kareṅge jis tarah ki maiṅ ne āp par kī hai. Aur zamānat ke taur par mujhe koī nishān deṅ 13 ki āp mere māṅ-bāp, mere bahan-bhāiyoṅ aur un ke ghar wāloṅ ko zindā chhoṛ kar hameṅ maut se bachāe rakheṅge.”
14 Ādmiyoṅ ne kahā, “Ham apnī jānoṅ ko zamānat ke taur par pesh karte haiṅ ki āp mahfūz raheṅge. Agar āp kisī ko hamāre bāre meṅ ittalā na deṅ to ham āp se zarūr mehrbānī aur wafādārī se pesh āeṅge jab Rab hameṅ yih mulk atā farmāegā.”
15 Tab Rāhab ne shahr se nikalne meṅ un kī madad kī. Chūṅki us kā ghar shahr kī chārdīwārī se mulhiq thā is lie ādmī khiṛkī se nikal kar rasse ke zariye bāhar kī zamīn par utar āe. 16 Utarne se pahle Rāhab ne unheṅ hidāyat kī, “Pahāṛī ilāqe kī taraf chale jāeṅ. Jo āp kā tāqqub kar rahe haiṅ wuh wahāṅ āp ko ḍhūnḍ nahīṅ sakeṅge. Tīn din tak yānī jab tak wuh wāpas na ā jāeṅ wahāṅ chhupe rahnā. Is ke bād jahāṅ jāne kā irādā hai chale jānā.”
17 Ādmiyoṅ ne us se kahā, “Jo qasam āp ne hameṅ khilāī hai ham zarūr us ke pāband raheṅge. Lekin shart yih hai 18 ki āp hamāre is mulk meṅ āte waqt qirmizī rang kā yih rassā us khiṛkī ke sāmne bāndh deṅ jis meṅ se āp ne hameṅ utarne diyā hai. Yih bhī lāzim hai ki us waqt āp ke māṅ-bāp, bhāī-bahneṅ aur tamām ghar wāle āp ke ghar meṅ hoṅ. 19 Agar koī āp ke ghar meṅ se nikle aur mār diyā jāe to yih hamārā qusūr nahīṅ hogā, ham zimmedār nahīṅ ṭhahreṅge. Lekin agar kisī ko hāth lagāyā jāe jo āp ke ghar ke andar ho to ham hī us kī maut ke zimmedār ṭhahreṅge. 20 Aur kisī ko hamāre muāmale ke bāre meṅ ittalā na denā, warnā ham us qasam se āzād haiṅ jo āp ne hameṅ khilāī.”
21 Rāhab ne jawāb diyā, “Ṭhīk hai, aisā hī ho.” Phir us ne unheṅ ruḳhsat kiyā aur wuh rawānā hue. Aur Rāhab ne apnī khiṛkī ke sāth mazkūrā rassā bāndh diyā.
22 Jāsūs chalte chalte pahāṛī ilāqe meṅ ā gae. Wahāṅ wuh tīn din rahe. Itne meṅ un kā tāqqub karne wāle pūre rāste kā khoj lagā kar ḳhālī hāth lauṭe. 23 Phir donoṅ jāsūsoṅ ne pahāṛī ilāqe se utar kar Dariyā-e-Yardan ko pār kiyā aur Yashua bin Nūn ke pās ā kar sab kuchh bayān kiyā jo un ke sāth huā thā. 24 Unhoṅ ne kahā, “Yaqīnan Rab ne hameṅ pūrā mulk de diyā hai. Hamāre bāre meṅ sun kar mulk ke tamām bāshindoṅ par dahshat tārī ho gaī hai.”