27
Īsā ko Pīlātus ke sāmne Pesh Kiyā Jātā Hai
1 Subah-sawere tamām rāhnumā imām aur qaum ke tamām buzurg is faisle tak pahuṅch gae ki Īsā ko sazā-e-maut dī jāe. 2 Wuh use bāndh kar wahāṅ se le gae aur Romī gawarnar Pīlātus ke hawāle kar diyā.
Yahūdāh kī Ḳhudkushī
3 Jab Yahūdāh ne jis ne use dushman ke hawāle kar diyā thā dekhā ki us par sazā-e-maut kā fatwā de diyā gayā hai to us ne pachhtā kar chāṅdī ke 30 sikke rāhnumā imāmoṅ aur qaum ke buzurgoṅ ko wāpas kar die. 4 Us ne kahā, “Maiṅ ne gunāh kiyā hai, kyoṅki ek bequsūr ādmī ko sazā-e-maut dī gaī hai aur maiṅ hī ne use āp ke hawāle kiyā hai.”
Unhoṅ ne jawāb diyā, “Hameṅ kyā! Yih terā maslā hai.” 5 Yahūdāh chāṅdī ke sikke Baitul-muqaddas meṅ phaiṅk kar chalā gayā. Phir us ne jā kar phāṅsī le lī.
6 Rāhnumā imāmoṅ ne sikkoṅ ko jamā karke kahā, “Sharīat yih paise Baitul-muqaddas ke ḳhazāne meṅ ḍālne kī ijāzat nahīṅ detī, kyoṅki yih ḳhūṅrezī kā muāwazā hai.” 7 Āpas meṅ mashwarā karne ke bād unhoṅ ne kumhār kā khet ḳharīdne kā faislā kiyā tāki pardesiyoṅ ko dafnāne ke lie jagah ho. 8 Is lie yih khet āj tak Ḳhūn kā Khet kahlātā hai.
9 Yoṅ Yarmiyāh Nabī kī yih peshgoī pūrī huī ki “Unhoṅ ne chāṅdī ke 30 sikke lie yānī wuh raqam jo Isrāīliyoṅ ne us ke lie lagāī thī. 10 In se unhoṅ ne kumhār kā khet ḳharīd liyā, bilkul aisā jis tarah Rab ne mujhe hukm diyā thā.”
Pīlātus Īsā kī Pūchh-Gachh Kartā Hai
11 Itne meṅ Īsā ko Romī gawarnar Pīlātus ke sāmne pesh kiyā gayā. Us ne us se pūchhā, “Kyā tum Yahūdiyoṅ ke Bādshāh ho?”
Īsā ne jawāb diyā, “Jī, āp ḳhud kahte haiṅ.” 12 Lekin jab rāhnumā imāmoṅ aur qaum ke buzurgoṅ ne us par ilzām lagāe to Īsā ḳhāmosh rahā.
13 Chunāṅche Pīlātus ne dubārā us se sawāl kiyā, “Kyā tum yih tamām ilzāmāt nahīṅ sun rahe jo tum par lagāe jā rahe haiṅ?”
14 Lekin Īsā ne ek ilzām kā bhī jawāb na diyā, is lie gawarnar nihāyat hairān huā.
Sazā-e-Maut kā Faislā
15 Un dinoṅ yih riwāj thā ki gawarnar har sāl Fasah kī Īd par ek qaidī ko āzād kar detā thā. Yih qaidī hujūm se muntaḳhab kiyā jātā thā. 16 Us waqt jel meṅ ek badnām qaidī thā. Us kā nām Bar-abbā thā. 17 Chunāṅche jab hujūm jamā huā to Pīlātus ne us se pūchhā, “Tum kyā chāhte ho? Maiṅ Bar-abbā ko āzād karūṅ yā Īsā ko jo Masīh kahlātā hai?” 18 Wuh to jāntā thā ki unhoṅ ne Īsā ko sirf hasad kī binā par us ke hawāle kiyā hai.
19 Jab Pīlātus yoṅ adālat ke taḳht par baiṭhā thā to us kī bīwī ne use paiġhām bhejā, “Is bequsūr ādmī ko hāth na lagāeṅ, kyoṅki mujhe pichhlī rāt is ke bāis ḳhāb meṅ shadīd taklīf huī.”
20 Lekin rāhnumā imāmoṅ aur qaum ke buzurgoṅ ne hujūm ko uksāyā ki wuh Bar-abbā ko māṅgeṅ aur Īsā kī maut talab kareṅ. Gawarnar ne dubārā pūchhā, 21 “Maiṅ in donoṅ meṅ se kis ko tumhāre lie āzād karūṅ?”
Wuh chillāe, “Bar-abbā ko.”
22 Pīlātus ne pūchhā, “Phir maiṅ Īsā ke sāth kyā karūṅ jo Masīh kahlātā hai?”
Wuh chīḳhe, “Use maslūb kareṅ.”
23 Pīlātus ne pūchhā, “Kyoṅ? Us ne kyā jurm kiyā hai?”
Lekin log mazīd shor machā kar chīḳhte rahe, “Use maslūb kareṅ!”
24 Pīlātus ne dekhā ki wuh kisī natīje tak nahīṅ pahuṅch rahā balki hangāmā barpā ho rahā hai. Is lie us ne pānī le kar hujūm ke sāmne apne hāth dhoe. Us ne kahā, “Agar is ādmī ko qatl kiyā jāe to maiṅ bequsūr hūṅ, tum hī us ke lie jawābdeh ṭhahro.”
25 Tamām logoṅ ne jawāb diyā, “Ham aur hamārī aulād us ke ḳhūn ke jawābdeh haiṅ.”
26 Phir us ne Bar-abbā ko āzād karke unheṅ de diyā. Lekin Īsā ko us ne koṛe lagāne kā hukm diyā, phir use maslūb karne ke lie faujiyoṅ ke hawāle kar diyā.
Faujī Īsā kā Mazāq Uṛāte Haiṅ
27 Gawarnar ke faujī Īsā ko mahal banām Praiṭoriyum ke sahan meṅ le gae aur pūrī palṭan ko us ke irdgird ikaṭṭhā kiyā. 28 Us ke kapṛe utār kar unhoṅ ne use arġhawānī rang kā libās pahnāyā, 29 phir kāṅṭedār ṭahniyoṅ kā ek tāj banā kar us ke sar par rakh diyā. Us ke dahne hāth meṅ chhaṛī pakaṛā kar unhoṅ ne us ke sāmne ghuṭne ṭek kar us kā mazāq uṛāyā, “Ai Yahūdiyoṅ ke Bādshāh, ādāb!” 30 Wuh us par thūkte rahe, chhaṛī le kar bār bār us ke sar ko mārā. 31 Phir us kā mazāq uṛāne se thak kar unhoṅ ne arġhawānī libās utār kar use dubārā us ke apne kapṛe pahnāe aur use maslūb karne ke lie le gae.
Īsā ko Maslūb Kiyā Jātā Hai
32 Shahr se nikalte waqt unhoṅ ne ek ādmī ko dekhā jo Libiyā ke shahr Kuren kā rahne wālā thā. Us kā nām Shamāūn thā. Use unhoṅ ne salīb uṭhā kar le jāne par majbūr kiyā. 33 Yoṅ chalte chalte wuh ek maqām tak pahuṅch gae jis kā nām Gulgutā (yānī Khopaṛī kā Maqām) thā. 34 Wahāṅ unhoṅ ne use mai pesh kī jis meṅ koī kaṛwī chīz milāī gaī thī. Lekin chakh kar Īsā ne use pīne se inkār kar diyā.
35 Phir faujiyoṅ ne use maslūb kiyā aur us ke kapṛe āpas meṅ bāṅṭ lie. Yih faislā karne ke lie ki kis ko kyā kyā mile unhoṅ ne qurā ḍālā. 36 Yoṅ wuh wahāṅ baiṭh kar us kī pahrādārī karte rahe. 37 Salīb par Īsā ke sar ke ūpar ek taḳhtī lagā dī gaī jis par yih ilzām likhā thā, “Yih Yahūdiyoṅ kā Bādshāh Īsā hai.” 38 Do ḍākuoṅ ko bhī Īsā ke sāth maslūb kiyā gayā, ek ko us ke dahne hāth aur dūsre ko us ke bāeṅ hāth.
39 Jo wahāṅ se guzare unhoṅ ne kufr bak kar us kī tazlīl kī aur sar hilā hilā kar apnī hiqārat kā izhār kiyā. 40 Unhoṅ ne kahā, “Tū ne to kahā thā ki maiṅ Baitul-muqaddas ko ḍhā kar use tīn din ke andar andar dubārā tāmīr kar dūṅgā. Ab apne āp ko bachā! Agar tū wāqaī Allāh kā Farzand hai to salīb par se utar ā.”
41 Rāhnumā imāmoṅ, sharīat ke ulamā aur qaum ke buzurgoṅ ne bhī Īsā kā mazāq uṛāyā, 42 “Is ne auroṅ ko bachāyā, lekin apne āp ko nahīṅ bachā saktā. Yih Isrāīl kā Bādshāh hai! Abhī yih salīb par se utar āe to ham is par īmān le āeṅge. 43 Is ne Allāh par bharosā rakhā hai. Ab Allāh ise bachāe agar wuh ise chāhtā hai, kyoṅki is ne kahā, ‘Maiṅ Allāh kā Farzand hūṅ.’ ”
44 Aur jin ḍākuoṅ ko us ke sāth maslūb kiyā gayā thā unhoṅ ne bhī use lān-tān kī.
Īsā kī Maut
45 Dopahar bārah baje pūrā mulk andhere meṅ ḍūb gayā. Yih tārīkī tīn ghanṭoṅ tak rahī. 46 Phir tīn baje Īsā ūṅchī āwāz se pukār uṭhā, “Elī, Elī, lamā shabaqtanī” jis kā matlab hai, “Ai mere Ḳhudā, ai mere Ḳhudā, tū ne mujhe kyoṅ tark kar diyā hai?”
47 Yih sun kar pās khaṛe kuchh log kahne lage, “Wuh Iliyās Nabī ko bulā rahā hai.” 48 Un meṅ se ek ne fauran dauṛ kar ek isfanj ko mai ke sirke meṅ ḍuboyā aur use ḍanḍe par lagā kar Īsā ko chusāne kī koshish kī.
49 Dūsroṅ ne kahā, “Āo, ham dekheṅ, shāyad Iliyās ā kar use bachāe.”
50 Lekin Īsā ne dubārā baṛe zor se chillā kar dam chhoṛ diyā.
51 Usī waqt Baitul-muqaddas ke Muqaddastarīn Kamre ke sāmne laṭkā huā pardā ūpar se le kar nīche tak do hissoṅ meṅ phaṭ gayā. Zalzalā āyā, chaṭāneṅ phaṭ gaīṅ 52 aur qabreṅ khul gaīṅ. Kaī marhūm muqaddasīn ke jismoṅ ko zindā kar diyā gayā. 53 Wuh Īsā ke jī uṭhne ke bād qabroṅ meṅ se nikal kar muqaddas shahr meṅ dāḳhil hue aur bahutoṅ ko nazar āe.
54 Jab pās khaṛe Romī afsar * Sau sipāhiyoṅ par muqarrar afsar. aur Īsā kī pahrādārī karne wāle faujiyoṅ ne zalzalā aur yih tamām wāqiyāt dekhe to wuh nihāyat dahshatzadā ho gae. Unhoṅ ne kahā, “Yih wāqaī Allāh kā Farzand thā.”
55 Bahut-sī ḳhawātīn bhī wahāṅ thīṅ jo kuchh fāsile par is kā mushāhadā kar rahī thīṅ. Wuh Galīl meṅ Īsā ke pīchhe chal kar yahāṅ tak us kī ḳhidmat kartī āī thīṅ. 56 Un meṅ Mariyam Magdalīnī, Yāqūb aur Yūsuf kī māṅ Mariyam aur Zabdī ke beṭoṅ Yāqūb aur Yūhannā kī māṅ bhī thīṅ.
Īsā ko Dafn Kiyā Jātā Hai
57 Jab shām hone ko thī to Arimatiyāh kā ek daulatmand ādmī banām Yūsuf āyā. Wuh bhī Īsā kā shāgird thā. 58 Us ne Pīlātus ke pās jā kar Īsā kī lāsh māṅgī, aur Pīlātus ne hukm diyā ki wuh use de dī jāe. 59 Yūsuf ne lāsh ko le kar use katān ke ek sāf kafan meṅ lapeṭā 60 aur apnī zātī ġhairistemālshudā qabr meṅ rakh diyā jo chaṭān meṅ tarāshī gaī thī. Āḳhir meṅ us ne ek baṛā patthar luṛhkā kar qabr kā muṅh band kar diyā aur chalā gayā. 61 Us waqt Mariyam Magdalīnī aur dūsrī Mariyam qabr ke muqābil baiṭhī thīṅ.
Qabr kī Pahrādārī
62 Agle din, jo Sabat kā din thā, rāhnumā imām aur Farīsī Pīlātus ke pās āe. 63 “Janāb,” unhoṅ ne kahā, “Hameṅ yād āyā ki jab wuh dhokebāz abhī zindā thā to us ne kahā thā, ‘Tīn din ke bād maiṅ jī uṭhūṅgā.’ 64 Is lie hukm deṅ ki qabr ko tīsre din tak mahfūz rakhā jāe. Aisā na ho ki us ke shāgird ā kar us kī lāsh ko churā le jāeṅ aur logoṅ ko batāeṅ ki wuh murdoṅ meṅ se jī uṭhā hai. Agar aisā huā to yih āḳhirī dhokā pahle dhoke se bhī zyādā baṛā hogā.”
65 Pīlātus ne jawāb diyā, “Pahredāroṅ ko le kar qabr ko itnā mahfūz kar do jitnā tum kar sakte ho.”
66 Chunāṅche unhoṅ ne jā kar qabr ko mahfūz kar liyā. Qabr ke muṅh par paṛe patthar par muhr lagā kar unhoṅ ne us par pahredār muqarrar kar die.