28
Īsā Jī Uṭhtā Hai
1 Itwār ko subah-sawere hī Mariyam Magdalīnī aur dūsrī Mariyam qabr ko deḳhne ke lie niklīṅ. Sūraj tulū ho rahā thā. 2 Achānak ek shadīd zalzalā āyā, kyoṅki Rab kā ek farishtā āsmān se utar āyā aur qabr ke pās jā kar us par paṛe patthar ko ek taraf luṛhkā diyā. Phir wuh us par baiṭh gayā. 3 Us kī shakl-o-sūrat bijlī kī tarah chamak rahī thī aur us kā libās barf kī mānind safed thā. 4 Pahredār itne ḍar gae ki wuh larazte larazte murdā se ho gae.
5 Farishte ne ḳhawātīn se kahā, “Mat ḍaro. Mujhe mālūm hai ki tum Īsā ko ḍhūnḍ rahī ho jo maslūb huā thā. 6 Wuh yahāṅ nahīṅ hai. Wuh jī uṭhā hai, jis tarah us ne farmāyā thā. Āo, us jagah ko ḳhud dekh lo jahāṅ wuh paṛā thā. 7 Aur ab jaldī se jā kar us ke shāgirdoṅ ko batā do ki wuh jī uṭhā hai aur tumhāre āge āge Galīl pahuṅch jāegā. Wahīṅ tum use dekhoge. Ab maiṅ ne tum ko is se āgāh kiyā hai.”
8 Ḳhawātīn jaldī se qabr se chalī gaīṅ. Wuh sahmī huī lekin baṛī ḳhush thīṅ aur dauṛī dauṛī us ke shāgirdoṅ ko yih ḳhabar sunāne gaīṅ.
9 Achānak Īsā un se milā. Us ne kahā, “Salām.” Wuh us ke pās āīṅ, us ke pāṅw pakaṛe aur use sijdā kiyā. 10 Īsā ne un se kahā, “Mat ḍaro. Jāo, mere bhāiyoṅ ko batā do ki wuh Galīl ko chale jāeṅ. Wahāṅ wuh mujhe dekheṅge.”
Pahredāroṅ kī Riporṭ
11 Ḳhawātīn abhī rāste meṅ thīṅ ki pahredāroṅ meṅ se kuchh shahr meṅ gae aur rāhnumā imāmoṅ ko sab kuchh batā diyā. 12 Rāhnumā imāmoṅ ne qaum ke buzurgoṅ ke sāth ek mīṭing mun'aqid kī aur pahredāroṅ ko rishwat kī baṛī raqam dene kā faislā kiyā. 13 Unhoṅ ne unheṅ batāyā, “Tum ko kahnā hai, ‘Jab ham rāt ke waqt so rahe the to us ke shāgird āe aur use churā le gae.’ 14 Agar yih ḳhabar gawarnar tak pahuṅche to ham use samjhā leṅge. Tum ko fikr karne kī zarūrat nahīṅ.”
15 Chunāṅche pahredāroṅ ne rishwat le kar wuh kuchh kiyā jo unheṅ sikhāyā gayā thā. Un kī yih kahānī Yahūdiyoṅ ke darmiyān bahut phailāī gaī aur āj tak un meṅ rāyj hai.
16 Phir gyārah shāgird Galīl ke us pahāṛ ke pās pahuṅche jahāṅ Īsā ne unheṅ jāne ko kahā thā. 17 Wahāṅ use dekh kar unhoṅ ne use sijdā kiyā. Lekin kuchh shak meṅ paṛ gae. 18 Phir Īsā ne un ke pās ā kar kahā, “Āsmān aur zamīn kā kul iḳhtiyār mujhe de diyā gayā hai. 19 Is lie jāo, tamām qaumoṅ ko shāgird banā kar unheṅ Bāp, Farzand aur Rūhul-quds ke nām se baptismā do. 20 Aur unheṅ yih sikhāo ki wuh un tamām ahkām ke mutābiq zindagī guzāreṅ jo maiṅ ne tumheṅ die haiṅ. Aur dekho, maiṅ duniyā ke iḳhtitām tak hameshā tumhāre sāth hūṅ.”