4
1 Boaz shahr ke darwāze ke pās jā kar baiṭh gayā jahāṅ buzurg faisle kiyā karte the. Kuchh der ke bād wuh rishtedār wahāṅ se guzarā jis kā zikr Boaz ne Rūt se kiyā thā. Boaz us se muḳhātib huā, “Dost, idhar āeṅ. Mere pās baiṭh jāeṅ.”
Rishtedār us ke pās baiṭh gayā 2 to Boaz ne shahr ke das buzurgoṅ ko bhī sāth biṭhāyā. 3 Phir us ne rishtedār se bāt kī, “Naomī Mulk-e-Moāb se wāpas ā kar apne shauhar Ilīmalik kī zamīn faroḳht karnā chāhtī hai. 4 Yih zamīn hamāre ḳhāndān kā maurūsī hissā hai, is lie maiṅ ne munāsib samjhā ki āp ko ittalā dūṅ tāki āp yih zamīn ḳharīd leṅ. Bait-laham ke buzurg aur sāth baiṭhe rāhnumā is ke gawāh hoṅge. Lāzim hai ki yih zamīn hamāre ḳhāndān kā hissā rahe, is lie batāeṅ ki kyā āp ise ḳharīd kar chhuṛāeṅge? Āp kā sab se qarībī rishtā hai, is lie yih āp hī kā haq hai. Agar āp zamīn ḳharīdnā na chāheṅ to yih merā haq banegā.” Rishtedār ne jawāb diyā, “Ṭhīk hai, maiṅ ise ḳharīd kar chhuṛāūṅgā.” 5 Phir Boaz bolā, “Agar āp Naomī se zamīn ḳharīdeṅ to āp ko us kī Moābī bahū Rūt se shādī karnī paṛegī tāki marhūm shauhar kī jagah aulād paidā kareṅ jo us kā nām rakh kar yih zamīn saṅbhāleṅ.”
6 Yih sun kar rishtedār ne kahā, “Phir maiṅ ise ḳharīdnā nahīṅ chāhtā, kyoṅki aisā karne se merī maurūsī zamīn ko nuqsān pahuṅchegā. Āp hī ise ḳharīd kar chhuṛāeṅ.”
7 Us zamāne meṅ agar aise kisī muāmale meṅ koī zamīn ḳharīdne kā apnā haq kisī dūsre ko muntaqil karnā chāhtā thā to wuh apnī chappal utār kar use de detā thā. Is tarīqe se faislā qānūnī taur par tay ho jātā thā. 8 Chunāṅche Rūt ke zyādā qarībī rishtedār ne apnī chappal utār kar Boaz ko de dī aur kahā, “Āp hī zamīn ko ḳharīd leṅ.” 9 Tab Boaz ne buzurgoṅ aur bāqī logoṅ ke sāmne elān kiyā, “Āj āp gawāh haiṅ ki maiṅ ne Naomī se sab kuchh ḳharīd liyā hai jo us ke marhūm shauhar Ilīmalik aur us ke do beṭoṅ Kilyon aur Mahlon kā thā. 10 Sāth hī maiṅ ne Mahlon kī bewā Moābī aurat Rūt se shādī karne kā wādā kiyā hai tāki Mahlon ke nām se beṭā paidā ho. Yoṅ marhūm kī maurūsī zamīn ḳhāndān se chhin nahīṅ jāegī, aur us kā nām hamāre ḳhāndān aur Bait-laham ke bāshindoṅ meṅ qāym rahegā. Āj āp sab gawāh haiṅ!”
11 Buzurgoṅ aur shahr ke darwāze par baiṭhe dīgar mardoṅ ne is kī tasdīq kī, “Ham gawāh haiṅ! Rab āp ke ghar meṅ āne wālī is aurat ko un barkatoṅ se nawāze jin se us ne Rāḳhil aur Liyāh ko nawāzā, jin se tamām Isrāīlī nikle. Rab kare ki āp kī daulat aur izzat Ifrātā yānī Bait-laham meṅ baṛhtī jāe. 12 Wuh āp aur āp kī bīwī ko utnī aulād baḳhshe jitnī Tamr aur Yahūdāh ke beṭe Fāras ke ḳhāndān ko baḳhshī thī.”
13 Chunāṅche Rūt Boaz kī bīwī ban gaī. Aur Rab kī marzī se Rūt shādī ke bād hāmilā huī. Jab us ke beṭā huā 14 to Bait-laham kī auratoṅ ne Naomī se kahā, “Rab kī tamjīd ho! Āp ko yih bachchā atā karne se us ne aisā shaḳhs muhaiyā kiyā hai jo āp kā ḳhāndān saṅbhālegā. Allāh kare ki us kī shohrat pūre Isrāīl meṅ phail jāe. 15 Us se āp tāzādam ho jāeṅgī, aur buṛhāpe meṅ wuh āp ko sahārā degā. Kyoṅki āp kī bahū jo āp ko pyār kartī hai aur jis kī qadar-o-qīmat sāt beṭoṅ se baṛh kar hai usī ne use janm diyā hai!”
16 Naomī bachche ko apnī god meṅ biṭhā kar use pālne lagī. 17 Paṛosī auratoṅ ne us kā nām Obed yānī ḳhidmat karne wālā rakhā. Unhoṅ ne kahā, “Naomī ke hāṅ beṭā paidā huā hai!”
Obed Dāūd Bādshāh ke bāp Yassī kā bāp thā. 18 Zail meṅ Fāras kā Dāūd tak nasabnāmā hai: Fāras, Hasron, 19 Rām, Ammīnadāb, 20 Nahson, Salmon, 21 Boaz, Obed, 22 Yassī aur Dāūd.